SEARCH RESULTS
Showing search results for "asaas"
Sher MATCHES FOR "asaas"
Sher
adaa hu.aa hai jo ik lafz be-asaas na ho
miraa KHudaa kahii.n merii tarah udaas na ho
Ameer Qazalbash
Sher
ek muddat se tirii yaad bhii aa.ii na hame.n
aur ham bhuul ga.e ho.n tujhe aisaa bhii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
sulag rahaa huu.n KHud apnii hii aag me.n kab se
ye mashGala to mire dard kii asaas na thaa
Asrar Zaidi
Sher
har zaKHm-e-kohnaa vaqt ke marham ne bhar diyaa
vo dard bhii miTaa jo KHushii kii asaas thaa
Hanif Tarin
Sher
asaas-e-jism uThaa.uu.n na.e sire se magar
ye sochtaa huu.n ki miTTii mirii KHaraab to ho
Aftab Hussain
Sher
jin kaa yaqiin raah-e-sukuu.n kii asaas hai
vo bhii gumaan-e-dasht me.n mujh ko pha.nse lage
Hanif Tarin
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Aasi uldani
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho