SEARCH RESULTS
Showing search results for "asaasa"
Sher MATCHES FOR "asaasa"
Sher
ek charaaG aur ek kitaab aur ek ummiid asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Sher
jaise ho umr bhar kaa asaasa Gariib kaa
kuchh is tarah se mai.n ne sambhaale tumhaare KHat
Wasi Shah
Sher
use bhulaayaa to apnaa KHayaal bhii na rahaa
ki meraa saaraa asaasa isii makaan me.n thaa
Ahmad Mahfuz
Sher
jo asaasa zindagii kaa us ne jo.Daa umr bhar
maut kaa sailaab jab aayaa to sab kuchh bah gayaa
Mohammad Ali Sahil
Sher
Asim nadeem Asi
Sher
mai.n raat sust anaasir se ta.ng aa gayaa thaa
mirii hayaat-e-fasurda me.n rang aa gayaa thaa
Osama Zakir
Sher
adaa hu.aa hai jo ik lafz be-asaas na ho
miraa KHudaa kahii.n merii tarah udaas na ho
Ameer Qazalbash
Sher
us ke bachche nahii.n thakte mujhe maamuu.n kahte
jis kii jaanib miraa ruj.haan thaa achchhaa-KHaasaa
Osama Muneer
Sher
sulag rahaa huu.n KHud apnii hii aag me.n kab se
ye mashGala to mire dard kii asaas na thaa
Asrar Zaidi
Sher
shaiKH-saahab ne masaa.il me.n jaka.D rakkhaa hai
varna islaam to aasaan thaa achchhaa-KHaasaa
Osama Muneer
Sher
har zaKHm-e-kohnaa vaqt ke marham ne bhar diyaa
vo dard bhii miTaa jo KHushii kii asaas thaa
Hanif Tarin
Sher
asaas-e-jism uThaa.uu.n na.e sire se magar
ye sochtaa huu.n ki miTTii mirii KHaraab to ho
Aftab Hussain
Sher
jin kaa yaqiin raah-e-sukuu.n kii asaas hai
vo bhii gumaan-e-dasht me.n mujh ko pha.nse lage
Hanif Tarin
Sher
muKHtasar vaqt me.n barbaadii kaa andaaza karo
is ta'alluq se puraane to mire kap.De hai.n