SEARCH RESULTS
Showing search results for "asaasa"
Ghazal MATCHES FOR "asaasa"
Ghazal
jaise ho umr bhar kaa asaasa Gariib kaa
kuchh is tarah se mai.n ne sambhaale tumhaare KHat
Wasi Shah
Ghazal
ek charaaG aur ek kitaab aur ek umiid-e-asaasa
us ke baa'd to jo kuchh hai vo sab afsaana hai
Iftikhar Arif
Ghazal
ye aagahii hai kisii haadse ke aamad kii
badan kaa saaraa asaasa bikharne vaalaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
daaG-e-dil naqsh hai ik laala-e-sahraa.ii kaa
ye asaasa hai mirii baadiya-paimaa.ii kaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
ek suraaKH saa kashtii me.n hu.aa chaahtaa hai
sab asaasa miraa paanii me.n bahaa chaahtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
kul milaa ke hai asaasa miraa ye umr-e-ravaa.n
rad nahii.n hogii du'aa rab miraa barakat degaa
aabid umar
Ghazal
zindagii to kyaa asaasa tak nahii.n baaqii bachaa
qaatilo.n ne ab ke bas KHaalii makaa.n rahne diyaa
Ibrat Machlishahri
Ghazal
zindagii KHud pe tuu itnaa bhii gumaa.n mat karnaa
chand saa.nso.n ke sivaa teraa asaasa kyaa hai
Ajay Sahaab
Ghazal
Waheed Akhtar
Ghazal
ik tinkaa aashiyaana ik raagnii asaasa
ik mausam-e-bahaaraa.n mehmaan do gha.Dii kaa
Majeed Amjad
Ghazal
KHvaabo.n ko hii 'iram' ne asaasa banaa liyaa
rahne do mere paas ye jaagiir KHvaab kii
Erum Zehra
Ghazal
luT gayaa din kaa asaasa aur baaqii rah ga.e
shaam kii dahliiz par laal o guhar TuuTe hu.e
Hasan Abidi
Ghazal
ye sher-o-shaa.erii merii ye mere chand KHayaal
yahii asaasa miraa ye hii milkiyat merii
Siya sachdev
Ghazal
ab aa ki apnaa apnaa asaasa sameT le.n
ab ham pe vaqt kii hai saKHaavat tamaam shud
Tahir Adeem
Ghazal
uftaad zamaane kii pa.Dii aisii hai mujh par
thaa jo bhii asaasa KHas-o-KHaashaak hu.aa hai