SEARCH RESULTS
Showing search results for "asgar-e-dil-giir"
Sher MATCHES FOR "asgar-e-dil-giir"
Sher
Tasweer
Sher
mudda.aa gar hai to ye hai aashiq-e-dil-giir kaa
ashk me.n honaa asar kaa aah me.n taasiir kaa
Bal Mukund Besabr
Sher
tirchhii nazro.n se na dekho aashiq-e-dil-giir ko
kaise tiir-andaaz ho siidhaa to kar lo tiir ko
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
go dil me.n KHafaa hai tuu par is baat ko naadaa.n
kah baiThiyo mat aashiq-e-dil-giir ke mu.nh par
Lala Tika Ram
Sher
S A Mehdi
Sher
banaa letaa hai mauj-e-KHuun-e-dil se ik chaman apnaa
vo paaband-e-qafas jo fitratan aazaad hotaa hai
Asghar Gondvi
Sher
Abul Mujahid Zahid
Sher
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
saaf dekhaa hai ki Guncho.n ne lahuu thuukaa hai
mausam-e-gul me.n ilaahii ko.ii dil-giir na ho
Taashshuq Lakhnavi
Sher
mai.n kaamyaab-e-diid bhii mahruum-e-diid bhii
jalvo.n ke izhdihaam ne hairaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
dil se kyaa puuchhtaa hai zulf-e-girah-giir se puuchh
apne diivaane kaa ahvaal tuu zanjiir se puuchh
Imdad Imam Asar
Sher
puuchhaa agar kisii ne miraa aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyaar aah labo.n se nikal ga.ii
Mirza Raza Barq
Sher
sabr ai dil ki ye haalat nahii.n dekhii jaatii
Thahr ai dard ki ab zabt kaa yaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
ai dil tujhe karnii hai agar ishq se bai.at
zinhaar kabhuu chho.Diyo mat silsila-e-dard
Waliullah Muhib
Sher
milegaa Gair bhii un ke gale ba-shauq ai dil
halaal karne mujhe iid kaa hilaal aayaa
Shad Azimabadi
Sher
chaahaa thaa mafar dil ne magar zulf-e-girah-giir
pechaak banaatii rahii pechaak se baahar
Ejaz Gul
Sher
naa-chaar hai dil zulf-e-girah-giir ke aage
diivaane kaa kyaa chaltaa hai zanjiir ke aage