SEARCH RESULTS
Showing search results for "asl-e-shuhuud"
Sher MATCHES FOR "asl-e-shuhuud"
Sher
ye naqsh-e-KHushnumaa dar-asl naqsh-e-aajizii hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzaad me.n hai
Zulfeqar Ahmad Tabish
Sher
guzrii savaal-e-vasl ke chakkar me.n saarii umr
fursat na mil sakii use guft-o-shuniid kii
Inam Durrani
Sher
aatii hai dhaar un ke karam se shu.uur me.n
dushman mile hai.n dost se behtar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Sher
Shahid Ghazi
Sher
Ibn e Insha
Sher
na milne par bhii use 'aish' pyaar kartaa huu.n
yuu.n uu.nchaa kar diyaa me.aar-e-zindagii mai.n ne
Aish Meeruthi
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-taviil kaa ye iKHtisaar hai
Aal-e-Raza Raza
Sher
ahl-e-duniyaa baavle hai.n baavlo.n kii tuu na sun
nii.nd u.Daataa ho jo afsaana us afsaana se bhaag
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
aise lage hai naukrii maal-e-haraam ke baGair
jaise ho 'daaG' kii Gazal baada o jaam ke baGair
Sarfaraz Shahid
Sher
ai sham.a sub.h hotii hai rotii hai kis liye
tho.Dii sii rah ga.ii hai ise bhii guzaar de
Aish Dehlvi
Sher
chashm-e-KHush-aab kii tamsiil me.n rahne vaale
ham parinde hai.n isii jhiil me.n rahne vaale
Shahid Kamal
Sher
aisaa kuchh gardish-e-dauraa.n ne rakhaa hai masruuf
maajare ho na sake ham se qalam-band apne
Siddiq Shahid
Sher
us ke jaane pe ye ehsaas hu.aa hai 'shaahid'
vo jaziira thaa miraa dukh se bhare paanii me.n
Siddiq Shahid
Sher
ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii me.n
ki us ke baa'd se tuufaan-e-tishnagii kam hai
Shahid Siddiqui
Sher
kuchh aaise daur bhii taaham giraft me.n aa.e
ki ye zamii.n rahii baaqii na aasamaa.n hii rahaa
Siddiq Shahid
Sher
saaqiyaa hijr me.n kab hai havas-e-guft-o-shuniid
saaGar-e-gosh se miinaa-e-zabaa.n duur rahe
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
tamaam umr kaTii us kii justujuu karte
ba.De dino.n me.n ye tarz-e-kalaam aayaa hai