SEARCH RESULTS
Showing search results for "asl-e-shuhuud"
Ghazal MATCHES FOR "asl-e-shuhuud"
Ghazal
asl-e-shuhuud-o-shaahid-o-mash.huud ek hai
hairaa.n huu.n phir mushaahida hai kis hisaab me.n
Mirza Ghalib
Ghazal
tere haatho.n kaa qalam hai jo asaa-e-darvesh
yahii ik din tujhe KHurshiid-kulaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
vaah-re insaaf itnaa bhii na vaa.n puuchhaa gayaa
ye qusuur-e-husn hai yaa asl me.n taasiir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Ghazal
basii hu.ii hai mohabbat kii in me.n ik duniyaa
na miT sake.nge zamaane se naqsh-haa-e-sujuud
Saqib Kanpuri
Ghazal
yahaa.n adaa-e-faraa.ez kii suurate.n hai.n judaa
namaaz-e-ishq me.n vaajib nahii.n rukuu-o-sujuud
Nooh Narvi
Ghazal
ek hii jalva hai jab ha.ngaama-aaraa-e-shuhuud
phir vahii shaahid vahii mash.huud honaa chaahiye
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Ghazal
kahne ko sab fasaana-e-Gaib-o-shuhuud thaa
dar-parda isti.aara-e-shauq-o-numuud thaa
Ravish Siddiqi
Ghazal
uns hai maadda-e-asl-o-sarisht-e-insaa.n
ulfat insaan se rakkhegaa jo insaa.n hogaa
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Ghazal
majaaz kaa sunahraa husn chhaa gayaa nigaah par
khulii jo aa.nkh jalva-e-shuhuud KHatm ho gayaa
Faryad Aazar
Ghazal
mirii nazar me.n tayaqqun kii dhuup raushan ho
kabhii to phaile vo ra.ng-e-shuhuud kii suurat
Sham Rizvi
Ghazal
use dair-o-haram me.n jaazbiyyat kyaa nazar aa.e
jo terii diid ko asl-e-mazaaq-e-bandagii samjhe
Nakhshab Jaarchawi
Ghazal
hamii.n se asl-e-binaa-e-hayaat thii ab tak
magar hai.n chashm-e-KHudaa.ii me.n raa.egaa.n ham log
Shehzad Anjum Burhani
Ghazal
mai.n sau.np dene kii manzil talak nahii.n pahu.nchaa
magar kisii ko qayaam-o-sujuud sau.nptaa huu.n
Kazim Husain Kazim
Ghazal
jab masnad-e-shuhuud pe laayaa gayaa mujhe
pahlaa hii dars-e-ishq pa.Dhaayaa gayaa mujhe
Abbas Mumtaz
Ghazal
KHaraab-e-ishq sahii aalam-e-shuhuud me.n huu.n
huu.n ashk ashk magar apne hii vajuud me.n huu.n
Raza Hamdani
Ghazal
hastii ke haq ke saamne kyaa asl-e-iin-o-aa.n
putle ye sab hai.n aap ke vahm-o-KHayaal ke