Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

choT gahri mujhe lagi to nahin

Krishn Gopal Maghmum

choT gahri mujhe lagi to nahin

Krishn Gopal Maghmum

MORE BYKrishn Gopal Maghmum

    choT gahrī mujhe lagī to nahīñ

    dil hālat kabhī chhupī to nahīñ

    hāsil-e-nutq ḳhāmushī to nahīñ

    kahīñ me.arāj-e-ġham yahī to nahīñ

    shaad rahnā jaise bhuul ga.e

    ashk piinā koī hañsī to nahīñ

    phuul ko phuul kar diyā jis ne

    ashk-e-shabnam tāzgī to nahīñ

    ahl-e-duniyā sard-mehrī se

    barf jazbāt par jamī to nahīñ

    is zamāne meñ zindagī karnā

    dosto koī dil-lagī to nahīñ

    jo khaTaktī hai har jagah mujh ko

    kahīñ terī vo kamī to nahīñ

    sāmne un ke aur gustāḳhī

    ġhalatī mujh se ye huī to nahīñ

    sabab-e-nā-rasā.ī-e-manzil

    apnī kotāh-himmatī to nahīñ

    tum jise tīrgī samajhte ho

    paas vo tīrgī to nahīñ

    gumrahī meñ maze hoñ laakh magar

    gumrahī manzil-āgahī to nahīñ

    maiñ nahīñ shākī-e-ḳhamoshī-e-bazm

    achchhe sheroñ pe daad bhī to nahīñ

    shāyad aa jaa.eñ phuul phal is meñ

    shāḳh-e-ummīd abhī jalī to nahīñ

    ye ta.assub junūñ ye maz.hab

    asl-e-īmān-o-āgahī to nahīñ

    aa.e din fitne aur hangāme

    ye siyāsat abtarī to nahīñ

    sharpasandī āñdhiyoñ se bhī

    shama-e-insāniyat bujhī to nahīñ

    jis se rahtā huuñ rāt-din sarshār

    ilm-o-fan ye be-ḳhudī to nahīñ

    dost kyoñ dostī ko bhuul ga.e

    dostī koī dushmanī to nahīñ

    ye mazāq-e-jadīdiyat tauba

    tab.a-e-shā.er ājizī to nahīñ

    na zabāñ na kuchh bayān lutf

    shā.erī aaj be-tukī to nahīñ

    aam bāteñ ġhazal meñ kah haiñ

    ham ne kuchh ḳhaas baat to nahīñ

    is zamīñ meñ bhī sach batā 'maġhmūm'

    tab.a terī kahīñ rukī to nahīñ

    choT gahri mujhe lagi to nahin

    dil ki haalat kabhi chhupi to nahin

    hasil-e-nutq KHamushi to nahin

    kahin mearaj-e-gham yahi to nahin

    shad rahna hi jaise bhul gae

    ashk pina koi hansi to nahin

    phul ko phul kar diya jis ne

    ashk-e-shabnam ki tazgi to nahin

    ahl-e-duniya ki sard-mehri se

    barf jazbaat par jami to nahin

    is zamane mein zindagi karna

    dosto koi dil-lagi to nahin

    jo khaTakti hai har jagah mujh ko

    kahin teri hi wo kami to nahin

    samne un ke aur gustaKHi

    ghalati mujh se ye hui to nahin

    sabab-e-na-rasai-e-manzil

    apni kotah-himmati to nahin

    tum jise tirgi samajhte ho

    pas hi ki wo tirgi to nahin

    gumrahi mein maze hon lakh magar

    gumrahi manzil-agahi to nahin

    main nahin shaki-e-KHamoshi-e-bazm

    achchhe sheron pe dad bhi to nahin

    shayad aa jaen phul phal is mein

    shaKH-e-ummid abhi jali to nahin

    ye tassub junun ye mazhab ka

    asl-e-iman-o-agahi to nahin

    aae din fitne aur hangame

    ye siyasat ki abtari to nahin

    sharpasandi ki aandhiyon se bhi

    shama-e-insaniyat bujhi to nahin

    jis se rahta hun raat-din sarshaar

    ilm-o-fan ki ye be-KHudi to nahin

    dost kyon dosti ko bhul gae

    dosti koi dushmani to nahin

    ye mazaq-e-jadidiyat tauba

    taba-e-shaer ki aajizi to nahin

    na zaban ka na kuchh bayan ka lutf

    shaeri aaj be-tuki to nahin

    aam baaten ghazal mein kah di hain

    hum ne kuchh KHas baat ki to nahin

    is zamin mein bhi sach bata 'maghmum'

    taba teri kahin ruki to nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now