Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hath phailao to suraj bhi siyahi dega

Faza Ibn e Faizi

hath phailao to suraj bhi siyahi dega

Faza Ibn e Faizi

MORE BYFaza Ibn e Faizi

    haath phailāo to sūraj bhī siyāhī degā

    kaun is daur meñ sachchoñ gavāhī degā

    soz-e-ehsās bahut hai ise kam-tar mat jaan

    yahī sho.ala tujhe bālīda-nigāhī degā

    yuuñ to har shaḳhs ye kahtā hai kharā sonā huuñ

    kaun kis ruup meñ hai vaqt batā degā

    huuñ pur-ummīd ki sab āstīñ rakhte haiñ yahāñ

    koī ḳhanjar to mirī pyaas bujhā degā

    shab-gazīda ko tire is ḳhabar kab thī

    din jo aa.egā ġham-e-lā-mutanāhī degā

    aa.ina sāf-dil itnā bhī nahīñ ab ki tumheñ

    asl chehre ke ḳhat-o-ḳhāl dikhā degā

    tere hāthoñ qalam hai jo asā-e-darvesh

    yahī ik din tujhe ḳhurshīd-kulāhī degā

    hath phailao to suraj bhi siyahi dega

    kaun is daur mein sachchon ki gawahi dega

    soz-e-ehsas bahut hai ise kam-tar mat jaan

    yahi shoala tujhe baalida-nigahi dega

    yun to har shaKHs ye kahta hai khara sona hun

    kaun kis rup mein hai waqt bata hi dega

    hun pur-ummid ki sab aastin rakhte hain yahan

    koi KHanjar to meri pyas bujha hi dega

    shab-gazida ko tere is ki KHabar hi kab thi

    din jo aaega gham-e-la-mutanahi dega

    aaina saf-dil itna bhi nahin ab ki tumhein

    asl chehre ke KHat-o-KHal dikha hi dega

    tere hathon ka qalam hai jo asa-e-darwesh

    yahi ek din tujhe KHurshid-kulahi dega

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hath phailao to suraj bhi siyahi dega Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now