SEARCH RESULTS
Showing search results for "atraaf"
Sher MATCHES FOR "atraaf"
Sher
sahar kii guu.nj se aavaaza-e-jamaal hu.aa
so jaagtaa rahaa atraaf ko jagaa.e hu.e
Afzaal Naveed
Sher
Arshad Jamal Sarim
Sher
raushniyaa.n atraaf me.n 'zehraa' raushan thii.n
aa.iine me.n aks hii teraa maddham thaa
Zehra Nigaah
Sher
zindagii itnii pareshaa.n hai ye sochaa bhii na thaa
us ke atraaf me.n sholo.n kaa samundar dekhaa
Afzal Minhas
Sher
shor rakhte hai.n jahaa.n me.n jis qadar sabzaan-e-hind
be-namak hai un ke aage husn aur atraaf kaa
Waliullah Muhib
Sher
aasmaa.n itnii bulandii pe jo itraataa hai
bhuul jaataa hai zamii.n se hii nazar aataa hai
Waseem Barelvi
Sher
kitne aish se rahte ho.nge kitne itraate ho.nge
jaane kaise log vo ho.nge jo us ko bhaate ho.nge
Jaun Eliya
Sher
maa.n baap aur ustaad sab hai.n KHudaa kii rahmat
hai rok-Tok un kii haq me.n tumhaare ne.amat
Altaf Hussain Hali
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
ham jis pe mar rahe hai.n vo hai baat hii kuchh aur
aalam me.n tujh se laakh sahii tuu magar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
sadaa ek hii ruKH nahii.n naav chaltii
chalo tum udhar ko havaa ho jidhar kii
Altaf Hussain Hali
Sher
hotii nahii.n qubuul du.aa tark-e-ishq kii
dil chaahtaa na ho to zabaa.n me.n asar kahaa.n
Altaf Hussain Hali
Sher
sunte rahe hai.n aap ke ausaaf sab se ham
milne kaa aap se kabhii mauqa.a nahii.n milaa
Nooh Narvi
Sher
bahut jii KHush hu.aa 'haalii' se mil kar
abhii kuchh log baaqii hai.n jahaa.n me.n
Altaf Hussain Hali
Sher
dil saaf ho kis tarah ki insaaf nahii.n hai
insaaf ho kis tarah ki dil saaf nahii.n hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
hu.aa hai shah kaa musaahib phire hai itraataa
vagarna shahr me.n 'Gaalib' kii aabruu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
hai justujuu ki KHuub se hai KHuub-tar kahaa.n
ab Thahartii hai dekhiye jaa kar nazar kahaa.n