SEARCH RESULTS
Showing search results for "attorney"
Sher MATCHES FOR "attorney"
Sher
tamaam raat nahaayaa thaa shahr baarish me.n
vo rang utar hii ga.e jo utarne vaale the
Jamal Ehsani
Sher
rago.n me.n zahr-e-KHamoshii utarne se zaraa pahle
bahut ta.Dpii ko.ii aavaaz marne se zaraa pahle
Khushbir Singh Shaad
Sher
Azm Bahzad
Sher
us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahrii nahii.n
vahaa.n bhii chand musaafir utarne vaale the
Jamal Ehsani
Sher
giregii kal bhii yahii dhuup aur yahii shabnam
is aasmaa.n se nahii.n aur kuchh utarne kaa
Hakeem Manzoor
Sher
udaas chho.D ga.e kashtiyo.n ko saahil par
gilaa kare.n bhii to kyaa paar utarne vaalo.n se
Shahzad Ahmad
Sher
aa hii gayaa vo mujh ko lahad me.n utaarne
Gaflat zaraa na kii mire Gaflat-shi.aar ne
Hafeez Jalandhari
Sher
gahre samundaro.n me.n utarne kii le ke aas
baiThe hu.e hai ek kinaare hamaare KHvaab
Aleena Itrat
Sher
kuchh to ho raat kii sarhad me.n utarne kii sazaa
garm suuraj ko samundar me.n Duboyaa jaa.e
Shahid Kabir
Sher
abhii gunaah kaa mausam hai aa shabaab me.n aa
nasha utarne se pahle mirii sharaab me.n aa
Abdullah Kamal
Sher
naa-KHudaa ne mujhe daldal me.n pha.nsaa.e rakkhaa
Duub marne na diyaa paar utarne na diyaa
Unknown
Sher
milaa to manzil-e-jaa.n me.n utaarne na diyaa
vo kho gayaa to kisii ne pukaarne na diyaa
Zafar Iqbal
Sher
bosa jo maa.ngaa bazm me.n farmaayaa yaar ne
ye din dahaa.De aa.e hai.n pag.Dii utaarne
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
kisii maqaam se ko.ii KHabar na aane kii
ko.ii jahaaz zamii.n par na ab utarne kaa