SEARCH RESULTS
Showing search results for "avval"
Sher MATCHES FOR "avval"
Sher
ham ne avval se pa.Dhii hai ye kitaab aaKHir tak
ham se puuchhe ko.ii hotii hai mohabbat kaisii
Altaf Hussain Hali
Sher
Allama Iqbal
Sher
ham ne avval to kabhii us ko pukaaraa hii nahii.n
aur pukaaraa to pukaaraa bhii sadaa.o.n ke baGair
Ahmad Ata
Sher
avval to tho.Dii tho.Dii chaahat thii darmiyaa.n me.n
phir baat kahte luknat aane lagii zabaa.n me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai-KHaana-e-europe ke dastuur niraale hai.n
laate hai.n suruur avval dete hai.n sharaab aaKHir
Allama Iqbal
Sher
avval-e-ishq kii saa.at jaa kar phir nahii.n aa.ii
phir ko.ii mausam pahle mausam saa nahii.n dekhaa
Mohammad Khalid
Sher
ahbaab-o-aqaarib ke bartaav ko.ii dekhe
avval to mujhe gaa.Dhaa uupar se dabaate hai.n
Muztar Khairabadi
Sher
mai.n ne har gaam use avval o aaKHir jaanaa
lekin us ne mujhe lamho.n kaa musaafir jaanaa
Kausar Niyazi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
avval avval KHuub dau.Dii kashtii-e-ahl-e-havas
aaKHir aaKHir Duub marne kaa maqaam aa hii gayaa
Natiq Gulavthi
Sher
shab-e-avval to tavaqqo pe tire va.ade ke
sahal hotii hai balaa hotii hai par aaKHir-e-shab
Meer Hasan
Sher
Saleem Ahmed
Sher
vasl kii shab kaa maza hotaa hai avval jaise
vaise hii hotaa hai ahvaal batar aaKHir-e-shab
Meer Hasan
Sher
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
avval-e-umr me.n dekhaa use jis ne ye kahaa
kaam aatish kaa karegaa ye sharaara aaKHir
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
shola-e-husn se thaa duud-e-dil apnaa avval
aag duniyaa me.n na aa.ii thii ki sozaa.n ham the
Taashshuq Lakhnavi
Sher
avval to zamaane me.n nahii.n tum saa ko.ii aur
aur ho bhii to ham kaun saa tasliim kare.nge