SEARCH RESULTS
Showing search results for "ayyaam-e-sheb"
Sher MATCHES FOR "ayyaam-e-sheb"
Sher
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaane.n
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahu.nche
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
mujh ko ka.aba me.n bhii hamesha shaiKH
yaad-e-ayyaam-e-but-parastii thii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
vahshat me.n basar hote hai.n ayyaam-e-shabaab aah
ye shaam-e-javaanii hai ki saaya hai hiran kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
mujh se kyaa puuchhte ho daaG hai.n dil me.n kitne
tum ko ayyaam-e-judaa.ii kaa shumaar aataa hai
Taashshuq Lakhnavi
Sher
aalaam-e-rozgaar ko aasaa.n banaa diyaa
jo Gam hu.aa use Gam-e-jaanaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
dil ko sukuun ruuh ko aaraam aa gayaa
maut aa ga.ii ki dost kaa paiGaam aa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
hai is anjuman me.n yaksaa.n adam o vajuud meraa
ki jo mai.n yahaa.n na hotaa yahii kaarobaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
kal to is aalam-e-hastii se guzar jaanaa hai
aaj kii raat tirii bazm me.n ham aur sahii
Sahir Lakhnavi
Sher
khulaa ye aadam-o-ibliis ke fasaane se
ki ye jahaan banaa hai fareb khaane se
Iftikhar Ahamad Siddiqi
Sher
hai.n yaadgaar-e-aalam-e-faanii ye dono.n chiiz
us kii jafaa aur apnii vafaa likh rakhe.nge ham
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHudaa ne ga.D.h to diyaa aalam-e-vajuud magar
sajaavaTo.n kii binaa aurato.n kii zaat hu.ii
Abdul Hamid Adam
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
ayaal-o-maal ne rokaa hai dam ko aa.nkho.n me.n
ye Thag haTe.n to musaafir ko raasta mil jaa.e
Unknown
Sher
aalam-e-kaun-o-makaa.n naam hai viiraane kaa
paas vahshat nahii.n ghar duur hai diivaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
Allama Iqbal
Sher
aadam-e-KHaakii se aalam ko jilaa hai varna
aa.iina thaa to magar qaabil-e-diidaar na thaa
Meer Taqi Meer
Sher
aalam-e-ishq me.n allaah-re nazar kii vus.at
nuqta-e-vahm hu.aa gumbad-e-garduu.n mujh ko