SEARCH RESULTS
Showing search results for "azaab-e-naar"
Sher MATCHES FOR "azaab-e-naar"
Sher
kuchh to kamii ho roz-e-jazaa ke azaab me.n
ab se piyaa kare.nge milaa kar gulaab me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
azaab-e-vahshat-e-jaa.n kaa sila na maa.nge ko.ii
na.e safar ke liye raasta na maa.nge ko.ii
Iftikhar Arif
Sher
azaab-e-mauj-o-talaatum mujhe qubuul magar
KHudaa bachaa.e azaab-e-fareb-e-saahil se
Iqbal Azeem
Sher
na.ii mohabbate.n 'KHaalid' puraanii dostiyaa.n
azaab-e-kashmakash-e-be-amaa.n me.n rahte hai.n
Abdul Aziz Khalid
Sher
hai chashm niim-baaz ajab KHvaab-e-naaz hai
fitna to so rahaa hai dar-e-fitna baaz hai
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
Iftikhar Arif
Sher
Aftab Hussain
Sher
Allama Iqbal
Sher
Saleem Kausar
Sher
mushkil hai imtiyaaz-e-azaab-o-savaab me.n
piitaa huu.n mai.n sharaab milaa kar gulaab me.n
Aziz Hyderabadi
Sher
dii.n se paidaa kufr hai aur nuur shakl-e-naar hai
rishta jab sub.he se niklaa suurat-e-zunnaar hai
Waliullah Muhib
Sher
Gariibii naam hai jis kaa azaab-e-jaan hotii hai
magar daulat kii kasrat mohlik-e-iimaan hotii hai
Zameer Atraulvi
Sher
ye saarii jannate.n ye jahannam azaab o ajr
saarii qayaamate.n isii duniyaa ke dam se hai.n
Iftikhar Arif
Sher
ye kaun phir se unhii.n raasto.n me.n chho.D gayaa
abhii abhii to azaab-e-safar se niklaa thaa
Ahmad Faraz
Sher
KHuun ke jo rishte the ban ga.e azaab-e-jaa.n
ham ko dal ke rishto.n se istifaada pahu.nchaa hai
Zameer Atraulvi
Sher
Hasrat Azimabadi
Sher
dastuur hii alag hai tirii bazm-e-naaz kaa
ilzaam de ke kah diyaa ilzaam hii to hai