SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-badnaamii"
Sher MATCHES FOR "ba-badnaamii"
Sher
tuu jafaa.o.n se jo badnaam kiye jaataa hai
yaad aa.egii tujhe merii vafaa mere baad
Fazal Husain Sabir
Sher
zo.af se girya mubaddal ba-dam-e-sard hu.aa
baavar aayaa hame.n paanii kaa havaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
log kahte hai.n ki bad-naamii se bachnaa chaahiye
kah do be is ke javaanii kaa mazaa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Sher
Ismail Merathi
Sher
Iftikhar Arif
Sher
aashiqo.n kii KHastagii bad-halii kii parvaa nahii.n
ai saraapaa naaz tuu ne be-niyaazii KHuub kii
Meer Taqi Meer
Sher
merii taariif kare yaa mujhe bad-naam kare
jis ne jo baat bhii karnii hai sar-e-aam kare
Maqbool Aamir
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye
Asrarul Haq Majaz
Sher
saare ahbaab me.n bad-naam tumhe.n kar degii
apne ahvaal pa.Dosan se chhupaa kar rakhnaa
Rauf Raheem
Sher
Ghamgeen Dehlvi
Sher
Naseem Nikhat
Sher
paivand kii tarah nazar aataa hai bad-numaa
puKHta makaan kachche gharo.n ke hujuum me.n
Owais Ahmad Dauran
Sher
sivaa us ke na ko.ii aur meraa dost ban paa.e
vo is Dar se zamaana me.n mujhe badnaam kartaa hai
Nishant Shrivastava Nayab
Sher
kitnaa shaatir hai siyaasat-daan apne mulk kaa
aur bhii maqbuul ho jaataa hai badnaamii ke baa'd
Syed Zameer Jafri
Sher
aashiq saa bad-nasiib ko.ii duusraa na ho
ma.ashuuq KHud bhii chaahe to us kaa bhalaa na ho
Hafeez Jalandhari
Sher
galii ke mo.D pe beva hai bad-nasiib ko.ii
suhaagano.n ke liye chuu.Diyaa.n banaatii hai
Nitin Nayab
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
mile.n kisii se to bad-naam ho.n zamaane me.n
abhii ga.e hai.n vo mujh ko sunaa ke parde me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
aib karne ko hunar chaahiye ye sach hai 'kiran'
log kahte hai.n ki bad ho to ho badnaam na ho
Raja Karan Prasad Karan
Sher
dukh kaTe zahmat kaTe kaT jaa.e bad-halii sabhii
vaqt kaaTe naa kaTe to kyaa kare.n kis se kahe.n