SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-dast"
Sher MATCHES FOR "ba-dast"
Sher
us ke maqtal me.n miraa KHuun baTaa dast-ba-dast
KHuub-ruu jaise lagaate hai.n hinaa dast-ba-dast
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye mai-kada hai yahaa.n hai.n gunaah jaam-ba-dast
vo madrasa hai vo masjid vahaa.n milegaa savaab
Ali Sardar Jafri
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
Khumar Barabankavi
Sher
kis se karuu.n mai.n apnii tabaahii kaa ab gila
KHud hii kamaa.n-ba-dast huu.n KHud hii shikaar mai.n
Yaseen Zameer
Sher
sar qalam kar de sitamgar dast-o-baazuu kaaT de
be-takalluf haq-ba-jaanib baat honii chaahiye
Arman Khan Arman
Sher
paa-ba-gil sab hai.n rihaa.ii kii kare tadbiir kaun
dast-basta shahr me.n khole mirii zanjiir kaun
Parveen Shakir
Sher
Hasan Naim
Sher
log zinda nazar aate the magar the maqtuul
dast-e-qaatil me.n ba-zaahir ko.ii shamshiir na thii
Shahzad Ahmad
Sher
vahii yaksaaniyat-e-shaam-o-sahar hai ki jo thii
zindagii dast-ba-dil KHaak-basar hai ki jo thii
Azeem Murtaza
Sher
be-samar pe.Do.n ko chuume.nge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye KHizaa.n be-dast-o-paa rah jaa.egii
Amjad Islam Amjad
Sher
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
Qalaq Merathi
Sher
KHuun miraa kar ke lagaanaa na hinaa mere ba.ad
dast ra.ngii.n na ho.n a.ngusht-numaa mere ba.ad
Goya Faqir Mohammad
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
dost ban ban ke mile mujh ko miTaane vaale
mai.n ne dekhe hai.n ka.ii rang zamaane vaale
Saeed Rahi
Sher
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
dast-e-shikasta apnaa na pahu.nchaa kabhii dareG
vaa.n tarf-e-dosh bar-sar-e-dastaar hii rahaa