SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-hazaar"
Sher MATCHES FOR "ba-hazaar"
Sher
hazaar jaam chhalakte hu.e nafas-ba-nafas
hazaar baaG mahakte hu.e qadam-ba-qadam
Izhaar Malihabadi
Sher
hazaar ra.ng-ba-daamaa.n sahii magar duniyaa
bas ek silsila-e-etibaar hai, kyaa hai
Nikhat Barelvi
Sher
yuu.n 'aabruu' banaave dil me.n hazaar baate.n
jab ruu-ba-ruu ho tere guftaar bhuul jaave
Abroo Shah Mubarak
Sher
hazaar tark-e-vafaa kaa KHayaal ho lekin
jo ruu-ba-ruu ho.n to ba.Dh kar gale lagaa lenaa
Farigh Bukhari
Sher
hazaar baar havaa.o.n se dushmanii hogii
bas ek baar charaaGo.n se dostii ke liye
Piyush Awasthi
Sher
hazaar baar jo maa.ngaa karo to kyaa haasil
du.aa vahii hai jo dil se kabhii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Sher
hazaar baar zamaana idhar se guzraa hai
na.ii na.ii sii hai kuchh terii rahguzar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
hazaar baar nigaaho.n se chuum kar dekhaa
labo.n pe us ke vo pahlii sii ab miThaas nahii.n
Aslam Aazad
Sher
hazaar baar iraada kiye baGair bhii ham
chale hai.n uTh ke to aksar ga.e usii kii taraf
Adeeb Saharanpuri
Sher
supurdagii kaa vo lamha kabhii nahii.n guzraa
hazaar baar mare ham hazaar baar jiye
Shahzad Ahmad
Sher
vidaa.a o vasl me.n hai.n lazzate.n judaagaana
hazaar baar tuu jaa sad-hazaar baar aa jaa
Mirza Ghalib
Sher
jaanaa pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaantaa na tire rah-guzar ko mai.n
Mirza Ghalib
Sher
hazaar baar KHud apne makaa.n pe dastak dii
ik ehtimaal me.n jaise ki mai.n hii andar thaa
Mushfiq Khwaja
Sher
hazaar shaiKH ne daa.Dhii ba.Dhaa.ii san kii sii
magar vo baat kahaa.n maulvii madan kii sii
Akbar Allahabadi
Sher
Gazlo.n ke she'r likhne se pahle hazaar baar
ham dekhte hai.n aap kii tasviir kii taraf
Usman Minai
Sher
Allama Iqbal
Sher
dekhaa na tum ne aa.nkh uThaa kar bhii ek baar
guzre hazaar baar tumhaarii galii se ham
Bismil Azimabadi
Sher
Aziz Tamannai
Sher
hazaar baar kiyaa azm-e-tark-e-nazzaara
hazaar baar magar dekhnaa pa.Daa mujh ko