SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-khudaa"
Sher MATCHES FOR "ba-khudaa"
Sher
islaam se bargashta na hote ba-KHudaa ham
gar ishq-e-butaa.n tab.a ke marGuub na hotaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
sher 'Gaalib' kaa nahii.n vahii ye tasliim magar
ba-KHudaa tum hii bataa do nahii.n lagtaa ilhaam
Mirza Ghalib
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ka.aba o dair me.n jab vo but-e-kaafir na milaa
ba-KHudaa ham ne bahut naalaa-e-naaquus kiye
Waliullah Muhib
Sher
ai be-KHudii salaam tujhe teraa shukriya
duniyaa bhii mast mast hai uqbaa bhii mast mast
Javed Saba
Sher
saadgii o purkaarii be-KHudii o hushyaarii
husn ko taGaaful me.n jur.at-aazmaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
ye be-KHudii ye labo.n kii ha.nsii mubaarak ho
tumhe.n ye saalgirah kii KHushii mubaarak ho
Unknown
Sher
be-KHud-e-shauq huu.n aataa hai KHudaa yaad mujhe
raasta bhuul ke baiThaa huu.n sanam-KHaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
marne ke baa'd KHud hii bikhar jaa.uu.ngaa kahii.n
ab qabr kyaa banegii agar ghar nahii.n banaa
Bedil Haidri
Sher
hazaar baar KHud apne makaa.n pe dastak dii
ik ehtimaal me.n jaise ki mai.n hii andar thaa