SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-ruu-e-kaar"
Sher MATCHES FOR "ba-ruu-e-kaar"
Sher
fareb-e-jalva kahaa.n tak ba-ruu-e-kaar rahe
naqaab uThaa.o ki kuchh din zaraa bahaar rahe
Akhtar Ali Akhtar
Sher
ham ruu-ba-ruu-e-sham.a hai.n is intizaar me.n
kuchh jaa.n paro.n me.n aa.e to u.D kar nisaar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
tuu ruu-ba-ruu ho to ai ruu-e-yaar tujh se kahe.n
vo harf-e-Gam ki hariif-e-Gam-e-zamaanaa hai
Mahmood Ayaz
Sher
ruu-ba-ruu kar ke kabhii apne mahakte surKH ho.nT
ek do pal ke liye gul-daan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
huzuur-e-duKHtar-e-raz haath paa.nv kaa.npte hai.n
tamaam masto.n ko ra.asha hai ruu-ba-ruu-e-sharaab
Muneer Shikohabadi
Sher
phir ke nigaah chaar-suu Thahrii usii ke ruu-ba-ruu
us ne to merii chashm ko qibla-numaa banaa diyaa
Nazeer Akbarabadi
Sher
kufr par mat ta.an kar ai shaiKH mere ruu-ba-ruu
mujh ko hai ma.aluum kaifiyyat tire islaam kii
Joshish Azimabadi
Sher
ruu-ba-ruu aa.iine ke mai.n huu.n nazar vo aa.e
ho bhii saktaa hai ye honaa magar aasaan nahii.n
Intesar Husain Abidi Shahid
Sher
ruu-ba-ruu hote hii jo soz-e-nihaa.n kar de 'ayaa.n
har kisii aa.nkh me.n kab itnaa hunar hotaa hai
Zain Ali Asif
Sher
ruu-e-zamii.n pe chaar arab mere aks hai.n
in me.n se mai.n bhii ek huu.n chaahe kahii.n huu.n mai.n
Rais Farogh
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
hazaar tark-e-vafaa kaa KHayaal ho lekin
jo ruu-ba-ruu ho.n to ba.Dh kar gale lagaa lenaa
Farigh Bukhari
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
ye aarzuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftuguu karte