SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba.Dhaane"
Sher MATCHES FOR "ba.Dhaane"
Sher
be-sabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham KHafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Sher
tumhaare baa'd KHudaa jaane kyaa hu.aa dil ko
kisii se rabt ba.Dhaane kaa hausla na hu.aa
Saifuddin Saif
Sher
ham kaafiro.n ne shauq me.n roza to rakh liyaa
ab hausla ba.Dhaane ko iftaar bhii to ho
Bharat Bhushan Pant
Sher
jab se fareb-e-ziist me.n aane lagaa huu.n mai.n
KHud apnii mushkilo.n ko ba.Dhaane lagaa huu.n mai.n
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
kuchh andaliib kaa KHuun jigar bhii hai shaamil
gulo.n kii bazm kii ra.ngiiniyaa.n ba.Dhaane me.n
Anwarul Hasan Anwar
Sher
ye us se rabt-o-zabt ba.Dhaane kaa hai sila
us kii KHataa ko merii KHataa maante hai.n log
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye
Ahmad Faraz
Sher
merii baa.nho.n me.n bahakne kii sazaa bhii sun le
ab bahut der me.n aazaad karuu.ngaa tujh ko
Jaun Eliya
Sher
Waseem Barelvi
Sher
justujuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne
Shahryar
Sher
ab aur kyaa kisii se maraasim ba.Dhaa.e.n ham
ye bhii bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Sher
ye kah ke dil ne mire hausle ba.Dhaa.e hai.n
Gamo.n kii dhuup ke aage KHushii ke saa.e hai.n
Mahirul Qadri
Sher
rone vaale tujhe rone kaa saliiqa hii nahii.n
ashk piine ke liye hai.n ki bahaane ke liye
Anand Narayan Mulla
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
bahaane aur bhii hote jo zindagii ke liye
ham ek baar tirii aarzuu bhii kho dete