SEARCH RESULTS
Showing search results for "baa-adab"
Sher MATCHES FOR "baa-adab"
Sher
mirii KHaak bhii u.Degii baa-adab tirii galii me.n
tire aastaa.n se uu.nchaa na miraa Gubaar hogaa
Mubarak Azimabadi
Sher
ab is se pahle ki rusvaa.ii apne ghar aatii
tumhaare shahr se ham baa-adab nikal aa.e
Moid Rasheedi
Sher
vo terii nii.nd thii jo be-KHabar rahii shab bhar
vo mere KHvaab the jo baa-adab nikal aa.e
Moid Rasheedi
Sher
ik zamaane tak badan be-KHvaab be-aadaab the
phir achaanak apnii uryaanii kaa andaaza hu.aa
Shaheen Abbas
Sher
kuchh be-adabii aur shab-e-vasl nahii.n kii
haa.n yaar ke ruKHsaar pe ruKHsaar to rakkhaa
Begam Lakhnavi
Sher
rind-e-KHaraab-nosh kii be-adabii to dekhiye
niyyat-e-mai-kashii na kii haath me.n jaam le liyaa
Shakeel Badayuni
Sher
'aziim log the TuuTe to ik vaqaar ke saath
kisii se kuchh na kahaa bas udaas rahne lage
Iqbal Ashhar
Sher
buraa na maan 'ziyaa' us kii saaf-go.ii kaa
jo dard-mand bhii hai aur be-adab bhii nahii.n
Zia Jalandhari
Sher
Ada Jafarey
Sher
Nooh Narvi
Sher
ba.az auqaat kisii aur ke milne se 'adam'
apnii hastii se mulaaqaat bhii ho jaatii hai
Abdul Hamid Adam
Sher
jalva be-baak adaa shoKH tamaashaa gustaaKH
uTh ga.e bazm se aadaab-e-nazar mere baad
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
ye adaa-e-be-niyaazii tujhe bevafaa mubaarak
magar aisii be-ruKHii kyaa ki salaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ajab tarah kii hai duniyaa ba-ra.ng-e-buu-qalamuu.n
ki hai har ek judaagaana al-amaa.n tanhaa