SEARCH RESULTS
Showing search results for "baa-muravvat"
Sher MATCHES FOR "baa-muravvat"
Sher
bazm me.n us be-muravvat kii mujhe
dekhnaa pa.Dtaa hai kyaa kyaa dekhiye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
aaKHirii baar mulaaqaat to kar lii hai magar
silsila apnii mohabbat kaa kahaa.n aaKHirii hai
Zahoor Chohan
Sher
be-muravvat tujhe aazurda kare.nge ham log
ye tirii naazukii-e-tab.a kii iijaad hai.n sab
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dosto.n se dushmanii aur dushmano.n se dostii
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dha.ng hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
yahii kamra thaa jis me.n chain se ham jii rahe the
ye tanhaa.ii to itnii be-muravvat ab hu.ii hai
Shariq Kaifi
Sher
ye mulaaqaat mulaaqaat nahii.n hotii hai
baat hotii hai magar baat nahii.n hotii hai
Hafeez Jalandhari
Sher
ek do baar to rokuu.ngaa muravvat me.n tujhe
saika.Do.n baar to israar nahii.n kar saktaa
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
tujh se to dil ke paas mulaaqaat ho ga.ii
mai.n KHud ko Dhuu.nDne ke liye dar-ba-dar gayaa
Mustafa Zaidi
Sher
un se ummiid-e-mulaaqaat ke baa'd ai 'maKHmuur'
muddato.n tak na KHud apne se mulaaqaat hu.ii
Makhmoor Saeedi
Sher
kal raat zindagii se mulaaqaat ho ga.ii
lab thartharaa rahe the magar baat ho ga.ii
Shakeel Badayuni
Sher
be-uzr vo kar lete hai.n va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat hai.n taqaazaa na kare.nge
Shefta Mustafa Khan
Sher
Altaf Hussain Hali
Sher
kaise kah duu.n ki mulaaqaat nahii.n hotii hai
roz milte hai.n magar baat nahii.n hotii hai
Shakeel Badayuni
Sher
jaane vaale se mulaaqaat na hone paa.ii
dil kii dil me.n hii rahii baat na hone paa.ii
Shakeel Badayuni
Sher
kyuu.n chup hai.n vo be-baat samajh me.n nahii.n aataa
ye ra.ng-e-mulaaqaat samajh me.n nahii.n aataa