SEARCH RESULTS
Showing search results for "baab-e-qubuul"
Sher MATCHES FOR "baab-e-qubuul"
Sher
usii ke ho.nTo.n ke phuul baab-e-qubuul chuume.n
so ham uThaa laa.e.n ab ke harf-e-du.aa usii kaa
Kabir Ajmal
Sher
Agha Shayar Qazalbash
Sher
Naseem Dehlvi
Sher
nigaar-KHaana-e-hikmat kaliid-e-baab-e-junuu.n
amiin-e-sub.h-e-masarrat ra.iis-e-shaam-e-alam
Izhaar Malihabadi
Sher
intizaar aur dastako.n ke darmiyaa.n kaTtii hai umr
itnii aasaanii se to baab-e-hunar khultaa nahii.n
Saleem Kausar
Sher
kitaab ziist me.n baab-e-alam bhii ho mahfuuz
siyaah-raat kaa manzar sahar me.n rakkhaa jaa.e
Amanullah Khalid
Sher
utraa thaa jis pe baab-e-hayaa kaa varaq varaq
bistar ke ek ek shikan kii shariik thii
Mustafa Zaidi
Sher
aah kartaa huu.n to aatii hai palaT kar ye sadaa
aashiqo.n ke vaaste baab-e-asar khultaa nahii.n
Sehr Ishqabadi
Sher
zavaal-e-asr hai kuufe me.n aur gadaagar hai.n
khulaa nahii.n ko.ii dar baab-e-iltijaa ke sivaa
Muneer Niyazi
Sher
diyaa hai dard to ra.ng-e-qubuul de aisaa
jo ashk aa.nkh se Tapke vo daastaa.n ho jaa.e
Siraj Lakhnavi
Sher
harf-e-inkaar hai kyuu.n naar-e-jahannam kaa haliif
sirf iqraar pe kyuu.n baab-e-iram khultaa hai
Waheed Akhtar
Sher
vo kha.Daa hai ek baab-e-ilm kii dahliiz par
mai.n ye kahtaa huu.n use is KHauf me.n daaKHil na ho
Muneer Niyazi
Sher
'qaa.em' mai.n reKHta ko diyaa KHil.at-e-qubuul
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyaa kamaal thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale