SEARCH RESULTS
Showing search results for "baad-e-bahaar-e-aa.iina"
Sher MATCHES FOR "baad-e-bahaar-e-aa.iina"
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
baad-e-bahaar me.n sab aatish junuun kii hai
har saal aavatii hai garmii me.n fasl-e-holii
Wali Uzlat
Sher
rang-e-shikasta sub.h-e-bahaar-e-nazaara hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-haa-e-naaz kaa
Mirza Ghalib
Sher
Ameer Qazalbash
Sher
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaane.n
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahu.nche
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
kyaa sun chuke hai.n aamad-e-fasl-e-bahaar haath
jaate hai.n suu-e-jeb jo be-iKHtiyaar haath
Rind Lakhnavi
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
fazaa tabassum-e-sub.h-e-bahaar thii lekin
pahu.nch ke manzil-e-jaanaa.n pe aa.nkh bhar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
Akhtar Husain Jafri
Sher
be-shak huzuur saaqii-e-bazm-e-bahaar hai.n
lekin KHud apnii tishna-labii bhii nibhaa.iye
Salam Machhli shahri
Sher
Mardan Ali Khan Rana
Sher
ye zaKHm-e-anaa kaafii hai ai yuusuf-e-dauraa.n
is chashm-e-zuleKHaa ko tuu Gamnaak na karnaa
Baharunnisa Bahar
Sher
karte hai.n arbaab-e-dil andaaza-e-josh-e-bahaar
meraa daaman dekh kar meraa garebaa.n dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
haa.e zanjiir-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahaar
aur zindaa.n se nikalnaa tire diivaane kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ab ke bahaar-e-husn-e-butaa.n hai kamaal par
naaquus ho na jaa.e kaf-e-barhaman me.n phuul