SEARCH RESULTS
Showing search results for "baadalo"
Sher MATCHES FOR "baadalo"
Sher
kabhii yak-ba-yak tavajjoh kabhii daf.atan taGaaful
mujhe aazmaa rahaa hai ko.ii ruKH badal badal kar
Shakeel Badayuni
Sher
log kahte hai.n badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hai.n jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Afzal Khan
Sher
mai.n vo sahraa jise paanii kii havas le Duubii
tuu vo baadal jo kabhii TuuT ke barsaa hii nahii.n
Sultan Akhtar
Sher
bichh.Daa kuchh is adaa se ki rut hii badal ga.ii
ik shaKHs saare shahr ko viiraan kar gayaa
Khalid Sharif
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
ab tire zikr pe ham baat badal dete hai.n
kitnii raGbat thii tire naam se pahle pahle
Ahmad Faraz
Sher
Nasir Kazmi
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
Qateel Shifai
Sher
Bashir Badr
Sher
barsaat ke aate hii tauba na rahii baaqii
baadal jo nazar aa.e badlii merii niiyat bhii
Hasrat Mohani
Sher
kisii ko saal-e-nau kii kyaa mubaarakbaad dii jaa.e
calender ke badalne se muqaddar kab badaltaa hai
Aitbar Sajid
Sher
ye mohabbat kaa fasaana bhii badal jaa.egaa
vaqt ke saath zamaana bhii badal jaa.egaa
Azhar Lakhnawi
Sher
mirii zabaan ke mausam badalte rahte hai.n
mai.n aadmii huu.n miraa e'tibaar mat karnaa