SEARCH RESULTS
Showing search results for "baadshaaho"
Sher MATCHES FOR "baadshaaho"
Sher
Allama Iqbal
Sher
tum suno yaa na suno haath ba.Dhaa.o na ba.Dhaa.o
Duubte Duubte ik baar pukaare.nge tumhe.n
Irfan Siddiqi
Sher
andar kii duniyaa se rabt ba.Dhaa.o 'aanis'
baahar khulne vaalii khi.Dkii band pa.Dii hai
Aanis Moin
Sher
chale bhii aa.o mire jiite-jii ab itnaa bhii
na intizaar ba.Dhaa.o ki nii.nd aa jaa.e
Mahshar Inayati
Sher
shikam kii aag liye phir rahii hai shahr-ba-shahr
sag-e-zamaana hai.n ham kyaa hamaarii hijrat kyaa
Iftikhar Arif
Sher
na socho tark-e-ta.alluq ke mo.D par ruk kar
qadam ba.Dhaa.o ki ye haadsa zaruurii hai
Musavvir Sabzwari
Sher
ye baadshaah nahii.n hai faqiir hai suuraj
hamesha raat kii jholii se din nikaaltaa hai
Anjum Barabankvi
Sher
KHud-sar hai agar vo to maraasim na ba.Dhaa.o
KHuddaar agar ho to anaa ta.ng karegii
Safdar Saleem Sial
Sher
baadshaahat do jahaa.n kii bhii jo hove mujh ko
tere kuuche kii gadaa.ii se na kho de mujh ko
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ghar-baar chho.D kar vo faqiiro.n se jaa mile
chaahat ne baadshaaho.n ko mahkuum kar diyaa
Anjum Barabankvi
Sher
baadshaahat ke maze hai.n KHaaksaarii me.n 'saliim'
ye nazaara yaar ke kuuche me.n rah ke dekhnaa
Sardar Saleem
Sher
dilo.n kii aag ba.Dhaa.o ki log kahte hai.n
charaaG-e-husn se raushan jahaa.n nahii.n hotaa
Anwar Moazzam
Sher
kahiye kyuu.nkar na use baadshah-e-kishvar-e-husn
ki jahaa.n jaa ke vo baiThaa vahii.n darbaar lagaa