SEARCH RESULTS
Showing search results for "baani-e-jaur-o-jafaa"
Sher MATCHES FOR "baani-e-jaur-o-jafaa"
Sher
Mansoor Khushtar
Sher
haa.e us dast-e-karam hii se mile jaur-o-jafaa
mujh ko aaGaaz-e-mohabbat hii me.n mar jaanaa thaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
adaa-o-naaz o karishma jafaa-o-jaur-o-sitam
udhar ye sab hai.n idhar ek merii jaa.n tanhaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
jafaa o jaur-e-musalsal vafaa o zabt-e-alam
vo iKHtiyaar tumhe.n hai ye iKHtiyaar mujhe
Anwar Sabri
Sher
aaj 'anjum' muskuraa kar us ne phir dekhaa mujhe
shikva-e-jaur-o-jafaa phir bhuul jaanaa hii pa.Daa
Anjum Manpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
apne marne kaa agar ranj mujhe hai to ye hai
kaun uThaa.egaa tirii jaur o jafaa mere ba.ad
Rind Lakhnavi
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
Nooh Narvi
Sher
Hadi Machlishahri
Sher
jaur-e-aflaak kii shirkat kii zaruurat kyaa hai
aap kaafii hai.n zamaane ko sataane ke liye
Safdar Mirzapuri
Sher
kisii ke jaur-e-musalsal kaa faiz hai 'aKHgar'
vagarna dard hamaare suKHan me.n kitnaa thaa
Haneef akhgar
Sher
hamii.n pe KHatm hai.n jaur-o-sitam zamaane ke
hamaare baad use kis kii aarzuu hogii
Fasih Akmal
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
kisii ke jaur-o-sitam kaa to ik bahaanaa thaa
hamaare dil ko bahar-haal TuuT jaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
aap hii apne zaraa jaur-o-sitam ko dekhe.n
ham agar arz kare.nge to shikaayat hogii