SEARCH RESULTS
Showing search results for "baaraat"
Sher MATCHES FOR "baaraat"
Sher
har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-iid
sotaa huu.n haath gardan-e-miinaa me.n Daal ke
Haidar Ali Aatish
Sher
vaaqif nahii.n ki paa.nv me.n pa.Dtii hai.n be.Diyaa.n
duulhe ko ye KHushii hai ki merii baraat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
zindagii ham se to is darja taGaaful na barat
ham bhii shaamil the tire chaahne vaalo.n me.n kabhii
Salman Akhtar
Sher
Fay Seen Ejaz
Sher
jaate qadmo.n kii ko.ii chaap hii shaayad sun luu.n
Duubte lamho.n kii baaraat ubhar jaa mujh me.n
Musavvir Sabzwari
Sher
jaate qadmo.n kii ko.ii chaap hii shaayad sun luu.n
Duubte lamho.n kii baaraat ubhar jaa mujh me.n
Musavvir Sabzwari
Sher
taa'liim-e-duKHtaraa.n se ye ummiid hai zaruur
naache dulhan KHushii se KHud apnii baraat me.n
Akbar Allahabadi
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke