SEARCH RESULTS
Showing search results for "baazuu"
Sher MATCHES FOR "baazuu"
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
is qadar bhii to na jazbaat pe qaabuu rakkho
thak ga.e ho to mire kaa.ndhe pe baazuu rakkho
Iftikhar Naseem
Sher
baazuu pe rakh ke sar jo vo kal raat so gayaa
aaraam ye milaa ki miraa haat so gayaa
Muztar Khairabadi
Sher
aazmaanaa hai to aa baazuu o dil kii quvvat
tuu bhii shamshiir uThaa ham bhii Gazal kahte hai.n
Kaleem Aajiz
Sher
nazar lage na kahii.n us ke dast-o-baazuu ko
ye log kyuu.n mire zaKHm-e-jigar ko dekhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
aazaadii ne baazuu bhii salaamat nahii.n rakkhe
ai taaqat-e-parvaaz tujhe laa.e.n kahaa.n se
Bismil Azimabadi
Sher
ai mohabbat mujh ko aisaa hausla KHairaat kar
us ko baazuu se paka.D kar kah sakuu.n ki baat kar
Fakhr Abbas
Sher
na pa.Dhaa yaar ne ahvaal-e-shikasta meraa
KHat ke purze kiye baazuu-e-kabuutar to.Daa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
vo raat aa.e ki sar teraa le ke baazuu par
tujhe sulaa.uu.n bayaa.n kar ke mai.n fasaana-e-ishq
Ahmad Husain Mail
Sher
jism aisaa ghul gayaa hai mujh mariiz-e-ishq kaa
dekh kar kahte hai.n sab taaviiz hai baazuu nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
Asghar Gondvi
Sher
chaahtaa huu.n ki ho parvaaz sitaaro.n se buland
aur mire hisse me.n TuuTe hu.e baazuu aa.e
Shahzad Ahmad
Sher
Hasan Naim
Sher
Saleem Figar
Sher
me.araaj-e-aqiidat hai ki ta.aviiz kii suurat
baazuu pe ko.ii KHaak-e-vatan baa.ndhe hu.e hai