SEARCH RESULTS
Showing search results for "badaulat"
Sher MATCHES FOR "badaulat"
Sher
Shuja Khaavar
Sher
us ghar kii badaulat mire shero.n ko hai shohrat
vo ghar ki jo is shahr me.n badnaam bahut hai
Mazhar Imam
Sher
Iftikhar Raghib
Sher
ye dilkashii kahaa.n mirii shaam-o-sahar me.n thii
duniyaa tirii nazar kii badaulat nazar me.n hai
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
ye mohabbat ko.ii anjaan sii shai hotii thii
kyaa ye kam hai ki ise terii badaulat samjhe
Abid Malik
Sher
daur-e-ishrat ne sa.nvaare hai.n Gazal ke gesuu
fikr ke pahluu magar Gam kii badaulat aa.e
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
sail-e-girya kii badaulat ye hu.aa ghar kaa haal
KHaak tak bhii na milii bahar-e-tayammum mujh ko
Dattatriya Kaifi
Sher
Mehr Zarreen
Sher
mire qalam kii siyaahii me.n 'ishq hai teraa
miraa ye naam ye shohrat tirii badaulat hai
Euphonic Amit
Sher
bulbul se kahaa gul ne kar tark mulaaqaate.n
Gunche ne girah baa.ndhii.n jo gul ne kahii.n baate.n
Baqaullah 'Baqa'
Sher
ishq ne mansab likhe jis din mirii taqdiir me.n
daaG kii naqadii milii sahraa milaa jaagiir me.n
Baqaullah 'Baqa'
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
is bazm me.n puuchhe na ko.ii mujh se ki kyaa huu.n
jo shiisha gire sang pe mai.n us kii sadaa huu.n
Baqaullah 'Baqa'
Sher
ulfat me.n tirii ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayaa hame.n ik haath se taalii kaa bajaanaa
Baqaullah 'Baqa'
Sher
dekh aa.iina jo kahtaa hai ki allaah-re mai.n
us kaa mai.n dekhne vaalaa huu.n 'baqaa' vaah-re mai.n