SEARCH RESULTS
Showing search results for "badlo"
Sher MATCHES FOR "badlo"
Sher
na shab o roz hii badle hai.n na haal achchhaa hai
kis barhaman ne kahaa thaa ki ye saal achchhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
barsaat ke aate hii tauba na rahii baaqii
baadal jo nazar aa.e badlii merii niiyat bhii
Hasrat Mohani
Sher
Nushur Wahidi
Sher
vafaa.o.n ke badle jafaa kar rahe hai.n
mai.n kyaa kar rahaa huu.n vo kyaa kar rahe hai.n
Behzad Lakhnavi
Sher
charaaGo.n ke badle makaa.n jal rahe hai.n
nayaa hai zamaana na.ii raushnii hai
Khumar Barabankavi
Sher
merii Gurbat ko sharaafat kaa abhii naam na de
vaqt badlaa to tirii raa.e badal jaa.egii
Nida Fazli
Sher
naaz kyaa is pe jo badlaa hai zamaane ne tumhe.n
mard hai.n vo jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Zafar Ali Khan
Sher
gungunaatii hu.ii aatii hai.n falak se buu.nde.n
ko.ii badlii tirii paazeb se Takraa.ii hai
Qateel Shifai
Sher
ham ne dekhaa hai zamaane kaa badalnaa lekin
un ke badle hu.e tevar nahii.n dekhe jaate
Ali Ahmad Jalili
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Rais Farogh
Sher
bujhaa hai dil to na samjho ki bujh gayaa Gam bhii
ki ab charaaG ke badle charaaG kii lau hai
Shamim Karhani
Sher
jo chaahtii duniyaa hai vo mujh se nahii.n hogaa
samjhautaa ko.ii KHvaab ke badle nahii.n hogaa
Shahryar
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
is qadar aap ke badle hu.e tevar hai.n ki mai.n
apnii hii chiiz uThaate hu.e Dar jaataa huu.n