SEARCH RESULTS
Showing search results for "bagh o bahar mir a"
Sher MATCHES FOR "bagh o bahar mir a"
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
yaad us kii itnii KHuub nahii.n 'miir' baaz aa
naadaan phir vo jii se bhulaayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
kahte hai.n andaliib-e-giraftaar mujh ko dekh
ummiid jiivne kii nahii.n is bahaar me.n
Tek Chand Bahar
Sher
itnii fursat de ki ruKHsat ho le.n ai sayyaad ham
muddato.n is baaG ke saaye me.n the aazaad ham
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
phirte hai.n 'miir' KHvaar ko.ii puuchhtaa nahii.n
is aashiqii me.n izzat-e-saadaat bhii ga.ii
Meer Taqi Meer
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
tuu saraapaa ajr ai zaahid mai.n sar-taa-paa gunaah
baaG-e-jannat terii KHaatir karbalaa mere liye
Meer Anees
Sher
mujh ko shaa.er na kaho 'miir' ki saahab mai.n ne
dard o Gam kitne kiye jam.a to diivaan kiyaa
Meer Taqi Meer
Sher
jam gayaa KHuu.n kaf-e-qaatil pe tiraa 'miir' zi-bas
un ne ro ro diyaa kal haath ko dhote dhote
Meer Taqi Meer
Sher
laayaa hai miraa shauq mujhe parde se baahar
mai.n varna vahii KHalvatii-e-raaz-e-nihaa.n huu.n
Meer Taqi Meer
Sher
kaisaa chaman ki ham se asiiro.n ko man.a hai
chaak-e-qafas se baaG kii diivaar dekhnaa
Meer Taqi Meer
Sher
ham ne jaanaa thaa likhegaa tuu ko.ii harf ai 'miir'
par tiraa naama to ik shauq kaa daftar niklaa