SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahaane"
Sher MATCHES FOR "bahaane"
Sher
tumhaarii yaad ke jab zaKHm bharne lagte hai.n
kisii bahaane tumhe.n yaad karne lagte hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Waseem Barelvi
Sher
justujuu jis kii thii us ko to na paayaa ham ne
is bahaane se magar dekh lii duniyaa ham ne
Shahryar
Sher
rone vaale tujhe rone kaa saliiqa hii nahii.n
ashk piine ke liye hai.n ki bahaane ke liye
Anand Narayan Mulla
Sher
bahaane aur bhii hote jo zindagii ke liye
ham ek baar tirii aarzuu bhii kho dete
Majrooh Sultanpuri
Sher
baat karne kaa hasii.n taur-tariiqa siikhaa
ham ne urdu ke bahaane se saliiqa siikhaa
Manish Shukla
Sher
dost dil rakhne ko karte hai.n bahaane kyaa kyaa
roz jhuuTii KHabar-e-vasl sunaa jaate hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
mausam-e-holii hai din aa.e hai.n rang aur raag ke
ham se tum kuchh maa.ngne aa.o bahaane phaag ke
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sataayaa aaj munaasib jagah pe baarish ne
isii bahaane Thahar jaa.e.n us kaa ghar hai yahaa.n
Iqbal Ashhar Quraishi
Sher
tire kuuche har bahaane mujhe din se raat karnaa
kabhii is se baat karnaa kabhii us se baat karnaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
akelaa us ko na chho.Daa jo ghar se niklaa vo
har ik bahaane se mai.n us sanam ke saath rahaa