SEARCH RESULTS
Showing search results for "balaa-e-hijr"
Sher MATCHES FOR "balaa-e-hijr"
Sher
ai hijr vaqt Tal nahii.n saktaa hai maut kaa
lekin ye dekhnaa hai ki miTTii kahaa.n kii hai
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
ai yaad-e-yaar dekh ki baa-vasf-e-ranj-e-hijr
masruur hai.n tirii KHalish-e-naa-tavaa.n se ham
Hasrat Mohani
Sher
mohabbat zulf kaa aaseb jaaduu hai nigaaho.n kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaanii hai
Khar Dehlavi
Sher
sadiyo.n tak ehtimaam-e-shab-e-hijr me.n rahe
sadiyo.n se intizaar-e-sahar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Sher
mai.n tark-e-ta.alluq pe bhii aamaada huu.n lekin
tuu bhii to miraa qarz-e-Gam-e-hijr adaa kar
Hasan Abbas Raza
Sher
dekh kar tuul-e-shab-e-hijr du.aa kartaa huu.n
vasl ke roz se bhii umr mirii kam ho jaa.e
Mirza Raza Barq
Sher
mat puuchh vaardaat-e-shab-e-hijr ai 'nasiir'
mai.n kyaa kahuu.n jo kaar-e-numaayaan-e-naala thaa
Shah Naseer
Sher
ham ta.ng-naa-e-hijr se baahar nahii.n ga.e
tujh se bichha.D ke zinda rahe mar nahii.n ga.e
Saqi Faruqi
Sher
duud-e-aah-e-jigarii kaam na aayaa yaaro
varna ruu-e-shab-e-hijr aur bhii kaalaa kartaa
Shah Naseer
Sher
nahii.n ilaaj-e-Gam-e-hijr-e-yaar kyaa kiije
ta.Dap rahaa hai dil-e-be-qaraar kiyaa kiije
Jigar Barelvi
Sher
Ahmad Alvi
Sher
ham us kii zulf kii zanjiir me.n hu.e hai.n asiir
sajan ke sar kii balaa aa pa.Dii hamaare gale