SEARCH RESULTS
Showing search results for "banaayaa"
Sher MATCHES FOR "banaayaa"
Sher
tum us ke paas ho jis ko tumhaarii chaah na thii
kahaa.n pe pyaas thii dariyaa kahaa.n banaayaa gayaa
Yasir Khan Inam
Sher
utar bhii aa.o kabhii aasmaa.n ke ziine se
tumhe.n KHudaa ne hamaare liye banaayaa hai
Bashir Badr
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
ab to maz.hab ko.ii aisaa bhii chalaayaa jaa.e
jis me.n insaan ko insaan banaayaa jaa.e
Gopaldas Neeraj
Sher
ik ham hai.n ki ham ne tumhe.n ma.ashuuq banaayaa
ik tum ho ki tum ne hame.n rakkhaa na kahii.n kaa
Muztar Khairabadi
Sher
taariif us KHudaa kii jis ne jahaa.n banaayaa
kaisii zamii.n banaa.ii kyaa aasmaa.n banaayaa
Ismail Merathi
Sher
Mehshar Afridi
Sher
kiyaa baadalo.n me.n safar zindagii bhar
zamii.n par banaayaa na ghar zindagii bhar
Anwar Shuoor
Sher
buto.n ko puujne vaalo.n ko kyuu.n ilzaam dete ho
Daro us se ki jis ne un ko is qaabil banaayaa hai
Makhmoor Saeedi
Sher
raazii hai.n ham ki dost se ho dushmanii magar
dushman ko ham se dost banaayaa na jaa.egaa
Altaf Hussain Hali
Sher
Nadeem Bhabha
Sher
milte hii nazar dil ko milaayaa nahii.n jaataa
aaGaaz ko anjaam banaayaa nahii.n jaataa
Asifud Daula
Sher
be-dar-o-diivaar saa ik ghar banaayaa chaahiye
ko.ii ham-saaya na ho aur paasbaa.n ko.ii na ho