SEARCH RESULTS
Showing search results for "bandagaan-e-varam"
Sher MATCHES FOR "bandagaan-e-varam"
Sher
ham bandagaan-e-ishq kaa maslak niraalaa hai
kaafir kii is me.n vaz.a na dii.n-daar kii tarah
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
bahut zaKHiim kitaabo.n se chun ke laayaa huu.n
inhe.n pa.Dho varaq-e-intiKHaab hai.n mire dost
Liyaqat Ali Aasim
Sher
mazmuun-e-sard-mehrii-e-jaanaa.n raqam karuu.n
gar haath aa.e kaaGaz-e-kashmiir kaa varaq
Nazeer Akbarabadi
Sher
vo lamha ziist kaa la.anat hai aadmii ke liye
jhuke jo sar kahii.n iz.haar-e-bandagii ke liye
Sohail Azeemabadi
Sher
bandhan saa ik ba.ndhaa thaa rag-o-pai se jism me.n
marne ke baa'd haath se motii bikhar ga.e
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
Sher
utraa thaa jis pe baab-e-hayaa kaa varaq varaq
bistar ke ek ek shikan kii shariik thii
Mustafa Zaidi
Sher
bandagii terii KHudaa.ii se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tire naqsh-e-qadam se pahle
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
naam se tere jo raushan matla-e-diivaa.n hu.aa
har varaq KHurshiid kaa maanind-e-nuur afshaa.n hu.aa
Raja Jiya Lal Bahadur Gulshan
Sher
Jameeluddin Aali
Sher
tahriir the KHvaab aur tamanna ke havaale
itnaa varaq-e-dil ko.ii saada to nahii.n thaa
Ahmad Azeem
Sher
dekhaa zaahid ne jo us ruu-e-kitaabii ko to bas
varaq-e-kufr liyaa daftar-e-iimaan ko phaa.D
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
dil ke ajzaa me.n nahii.n miltaa ko.ii juzv-e-nishaat
is sahiife se kisii ne ik varaq kam kar diyaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
jaane kyaa suurat-e-haalaat raqam thii us me.n
jo varaq chaak hu.aa us ko dobaaraa dekhe.n
Abul Hasanat Haqqi
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham
Shakeel Badayuni
Sher
Ajmal Siddiqui
Sher
varaq varaq hai.n yahaa.n haadsaat-e-roz-o-shab
kitaab-e-ziist mai.n mansuub ab karuu.n kis se