SEARCH RESULTS
Showing search results for "bandish-e-mazmuu.n"
Sher MATCHES FOR "bandish-e-mazmuu.n"
Sher
azaa.n pe qaid nahii.n bandish-e-namaaz nahii.n
hamaare paas to hijrat kaa bhii javaaz nahii.n
Anjum Khayali
Sher
bandish-e-alfaaz ja.Dne se nago.n ke kam nahii.n
shaa.irii bhii kaam hai 'aatish' murassa-saaz kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Gazal me.n bandish-e-alfaaz hii nahii.n sab kuchh
jigar kaa KHuun bhii kuchh chaahiye asar ke liye
Unknown
Sher
mai.n manzilo.n se bahut duur aa gayaa 'maamuun'
safar ne kho diye saare nishaa.n tumhaarii taraf
Khaleel Mamoon
Sher
be-parda suu-e-vaadi-e-majnuu.n guzar na kar
har zarra ke naqaab me.n dil be-qaraar hai
Mirza Ghalib
Sher
Wali Uzlat
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
aavaara o majnuu.n hii pe mauquuf nahii.n kuchh
milne hai.n abhii mujh ko KHitaab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
tuu qaadir o aadil hai magar tere jahaa.n me.n
hai.n talKH bahut banda-e-mazduur ke auqaat
Allama Iqbal
Sher
is liye sab se alag hai mirii KHushbuu 'aamii'
mushk-e-mazduur pasiine me.n liye phirtaa huu.n
Imran Aami
Sher
diid-e-lailaa ke liye diida-e-majnuu.n hai zaruur
merii aa.nkho.n se ko.ii dekhe tamaashaa teraa
Rind Lakhnavi
Sher
afsaana-e-majnuu.n se nahii.n kam miraa qissa
is baat ko jaane do ki mash.huur nahii.n hai
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
sach ishq me.n hai.n aashiq o ma.ashuuq baraabar
jo mushkil-e-majnuu.n hai so hai mushkil-e-lailaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aatii hai
dil-e-majnuu.n ke dha.Dakne kii sadaa aatii hai
Taashshuq Lakhnavi
Sher
qissa-e-majnuu.n pasand-e-KHaatir jaanaana hai
varna KHvaab-aavar to apne Gam kaa bhii afsaana hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
agar uryaanii-e-majnuu.n pe aataa rahm lailaa ko
banaa detii qabaa vo chaak kar ke parda mahmil kaa