SEARCH RESULTS
Showing search results for "bar-sar-e-baazaar"
Sher MATCHES FOR "bar-sar-e-baazaar"
Sher
bhii.D hai bar-sar-e-baazaar kahii.n aur chale.n
aa mire dil mire Gam-KHvaar kahii.n aur chale.n
Aitbar Sajid
Sher
biktaa rahtaa sar-e-baazaar ka.ii qisto.n me.n
shukr hai mere KHudaa ne mujhe shohrat nahii.n dii
Ahmad Ashfaq
Sher
ye tamaashaa sar-e-baazaar nahii.n ho saktaa
har ko.ii meraa KHariidaar nahii.n ho saktaa
Masood Tanha
Sher
zamaana bar-sar-e-aazaar thaa magar 'faanii'
ta.Dap ke ham ne bhii ta.Dpaa diyaa zamaane ko
Fani Badayuni
Sher
Iftikhar Arif
Sher
Kausar Niyazi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
KHaamushii achchhii nahii.n inkaar honaa chaahiye
ye tamaashaa ab sar-e-baazaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
ho.nTo.n pe kabhii un ke miraa naam hii aa.e
aa.e to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aa.e
Ada Jafarey
Sher
jo kuchh kaho qubuul hai takraar kyaa karuu.n
sharminda ab tumhe.n sar-e-baazaar kyaa karuu.n
Anwar Shuoor
Sher
chhup chhup ke kahaa.n tak tire diidaar mile.nge
ai parda-nashii.n ab sar-e-baazaar mile.nge
Shahzad Ahmad
Sher
hai jalva-faroshii kii dukaa.n jo ye ab isii ne
diivaar me.n khi.Dkii sar-e-baazaar nikaalii
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
ham na kahte the ki saudaa zulf kaa achchhaa nahii.n
dekhiye to ab sar-e-baazaar rusvaa kaun hai
Aagha Akbarabadi
Sher
baazaar ke daamo.n kii shikaayat hai har ik ko
phir bhii sar-e-baazaar ba.Dii bhii.D lagii hai
Mohammad Alvi
Sher
aa.nkho.n me.n tire jalve liye phirte hai.n ham log
ham log ki rusvaa sar-e-baazaar hu.e hai.n
Yusuf Zafar
Sher
chho.D do Gair se milnaa tum ab ai yaar kahii.n
varna rusvaa mai.n karuu.ngaa sar-e-baazaar kahii.n
Betab Dehlvi
Sher
tum se milnaa bhii hai milnaa bhii nahii.n hai tum se
aa.o tum se sar-e-baazaar kahii.n milte hai.n