SEARCH RESULTS
Showing search results for "barg-o-gul-o-tuyuur"
Sher MATCHES FOR "barg-o-gul-o-tuyuur"
Sher
shaaKHo.n se barg-e-gul nahii.n jha.Dte hai.n baaG me.n
zevar utar rahaa hai uruus-e-bahaar kaa
Ameer Minai
Sher
barso.n gul-e-KHurshiid o gul-e-maah ko dekhaa
taaza ko.ii dikhlaa.e hame.n charKH-e-kuhan phuul
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Sarvat Husain
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
u.D jaa.uu.ngaa bahaar me.n maanind-e-buu-e-gul
zanjiir mere paa-e-junuu.n me.n hazaar Daal
Raunaq Tonkvi
Sher
Guncha o gul maah o anjum sab ke sab bekaar the
aap kyaa aa.e ki phir mausam suhaanaa aa gayaa
Asad Bhopali
Sher
garche tum taaza gul-e-gulshan-e-ra.anaa.ii ho
phir bhii ye aib hai ik tum me.n ki harjaa.ii ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kal qaafila-e-nik.hat-e-gul hogaa ravaana
mat chho.Diyo tuu saath nasiim-e-saharii kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
nik.hat-e-saaGar-e-gul ban ke u.Daa jaataa huu.n
liye jaataa hai kahaa.n baada-e-sar-josh mujhe
Agha Hashr Kashmiri
Sher
qafas me.n ho dil-e-bulbul shahiid-e-jalva-e-gul
KHizaa.n ne jo na kiyaa thaa vo ab bahaar kare
Hasrat Mohani
Sher
Shariq Irayani
Sher
hujuum-e-baada-o-gul me.n hujuum-e-yaaraa.n me.n
kisii nigaah ne jhuk kar mire salaam liye
Makhdoom Mohiuddin
Sher
qabaa-e-laala-o-gul me.n jhalak rahii thii KHizaa.n
bharii bahaar me.n royaa kiye bahaar ko ham