SEARCH RESULTS
Showing search results for "barkat"
Sher MATCHES FOR "barkat"
Sher
Vilas Pandit Musafir
Sher
gale me.n us ke KHudaa kii ajiib barkat hai
vo boltaa hai to ik raushnii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
zaraa se rizq me.n barkat bhii kitnii hotii thii
aur ik charaaG se kitne charaaG jalte the
Ateequllah
Sher
Mahtab Haider Naqvi
Sher
qudrat kii barkate.n hai.n KHazaana basant kaa
kyaa KHuub kyaa ajiib zamaana basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
husn-e-amal me.n barkate.n hotii hai.n be-shumaar
patthar bhii to.Diye to saliiqe se to.Diye
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
chhoTii sii ek baat mirii phailtii ga.ii
ya.anii mire KHayaal me.n barakat ziyaada hai
Shahnawaz Farooqi
Sher
har vaqt kaa ha.nsnaa tujhe barbaad na kar de
tanhaa.ii ke lamho.n me.n kabhii ro bhii liyaa kar
Mohsin Naqvi
Sher
Parveen Shakir
Sher
vaise to tumhii.n ne mujhe barbaad kiyaa hai
ilzaam kisii aur ke sar jaa.e to achchhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Shauq Bahraichi
Sher
mujh ko to hosh nahii.n tum ko KHabar ho shaayad
log kahte hai.n ki tum ne mujhe barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
barbaad kar diyaa hame.n pardes ne magar
maa.n sab se kah rahii hai ki beTaa maze me.n hai