SEARCH RESULTS
Showing search results for "barso"
Sher MATCHES FOR "barso"
Sher
Allama Iqbal
Sher
mai.n vo sahraa jise paanii kii havas le Duubii
tuu vo baadal jo kabhii TuuT ke barsaa hii nahii.n
Sultan Akhtar
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
mat sahl hame.n jaano phirtaa hai falak barso.n
tab KHaak ke parde se insaan nikalte hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
jo mujh me.n tujh me.n chalaa aa rahaa hai barso.n se
kahii.n hayaat isii faasle kaa naam na ho
Waseem Barelvi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
Hafeez Banarasi
Sher
go zaraa sii baat par barso.n ke yaaraane ga.e
lekin itnaa to hu.aa kuchh log pahchaane ga.e
Khatir Ghaznavi
Sher
tuu aag me.n ai aurat zinda bhii jalii barso.n
saa.nche me.n har ik Gam ke chup-chaap Dhalii barso.n
Habib Jalib
Sher
ye ek abr kaa Tuk.Daa kahaa.n kahaa.n barse
tamaam dasht hii pyaasaa dikhaa.ii detaa hai