SEARCH RESULTS
Showing search results for "bauno.n"
Sher MATCHES FOR "bauno.n"
Sher
Mohammad Aazam
Sher
buto.n se tujh ko umiide.n KHudaa se naumiidii
mujhe bataa to sahii aur kaafirii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
dekhiye paate hai.n ushshaaq buto.n se kyaa faiz
ik barahman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
tayyaar the namaaz pe ham sun ke zikr-e-huur
jalva buto.n kaa dekh ke niiyat badal ga.ii
Akbar Allahabadi
Sher
chal diye suu-e-haram kuu-e-butaa.n se 'momin'
jab diyaa ranj buto.n ne to KHudaa yaad aayaa
Momin Khan Momin
Sher
bhiigii miTTii kii mahak pyaas ba.Dhaa detii hai
dard barsaat kii buu.ndo.n me.n basaa kartaa hai
Marghoob Ali
Sher
Munawwar Rana
Sher
vo din ga.e ki 'daaG' thii har dam buto.n kii yaad
pa.Dhte hai.n paa.nch vaqt kii ab to namaaz ham
Dagh Dehlvi
Sher
ham aise saada-dilo.n kii niyaaz-mandii se
buto.n ne kii hai.n jahaa.n me.n KHudaa.iyaa.n kyaa kyaa
Faiz Ahmad Faiz
Sher
buto.n ko puujne vaalo.n ko kyuu.n ilzaam dete ho
Daro us se ki jis ne un ko is qaabil banaayaa hai
Makhmoor Saeedi
Sher
bujhe labo.n pe hai boso.n kii raakh bikhrii hu.ii
mai.n is bahaar me.n ye raakh bhii u.Daa duu.ngaa
Saqi Faruqi
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
na diin ke hu.e mohsin ham aur na duniyaa ke
buto.n se ham na mile aur hame.n KHudaa na milaa
Unknown
Sher
'bismil' buto.n kaa ishq mubaarak tumhe.n magar
itne niDar na ho ki KHudaa kaa bhii Dar na ho
Bismil Azimabadi
Sher
Muneer Niyazi
Sher
sanam-parastii karuu.n tark kyuu.nkar ai vaa.iz
buto.n kaa zikr KHudaa kii kitaab me.n dekhaa