SEARCH RESULTS
Showing search results for "bazm-e-jaam-e-jam"
Sher MATCHES FOR "bazm-e-jaam-e-jam"
Sher
ye mai-KHaana hai bazm-e-jam nahii.n hai
yahaa.n ko.ii kisii se kam nahii.n hai
Jigar Moradabadi
Sher
har ik rind ke haath me.n jaam-e-jam ho
kuchh is shaan kaa mai-kada chaahtaa huu.n
Amjad Ali Ghaznawi
Sher
shukriya ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahfil me.n tanhaa ho gayaa
Salam Machhli shahri
Sher
sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n
bint-ul-anab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
us vaqt mujh ko daavat-e-jaam-o-subuu milii
jis vaqt mai.n gunaah ke qaabil nahii.n rahaa
Saghar Khayyami
Sher
shauq-e-sharaab KHvaahish-e-jaam-o-subuu nahii.n
hai sab haraam jab se ki pahluu me.n tuu nahii.n
Naseem Dehlvi
Sher
gardish-e-miinaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe
Zehra Nigaah
Sher
ye tirii mast-nigaahii ye faroG-e-mai-o-jaam
aaj saaqii tire rindo.n se adab mushkil hai
Bahauddin Kaleem
Sher
kyuu.n jaam-e-sharaab-e-naab maa.nguu.n
saaqii kii nazar me.n kyaa nahii.n hai
Seemab Akbarabadi
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
musallaa rakhte hai.n sahbaa-o-jaam rakhte hai.n
faqiir sab ke liye intizaam rakhte hai.n
Wali Aasi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
de mujh ko bhii is daur me.n saaqii sipar-e-jaam
har mauj-e-havaa khii.nche hai shamshiir havaa par
Shah Naseer
Sher
mujh tak kab un kii bazm me.n aataa thaa daur-e-jaam
saaqii ne kuchh milaa na diyaa ho sharaab me.n