SEARCH RESULTS
Showing search results for "bazm-e-suur"
Sher MATCHES FOR "bazm-e-suur"
Sher
ham ko pahchaan ki ai bazm-e-chaman-zaar-e-vajuud
ham na hote to tujhe kis ne sa.nvaaraa hotaa
Aslam Ansari
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Sher
yaa unhe.n aatii nahii.n bazm-e-suKHan-aaraa.ii
yaa hame.n bazm ke aadaab nahii.n aate hai.n
Ramzi Asim
Sher
logo.n ko apnii fikr hai lekin mujhe nadiim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaa.n kii fikr hai
Abdul Mateen Niyaz
Sher
is qadar naaz na kiije ki buzurgo.n ne bahut
baarhaa bazm-e-KHud-aaraa.ii sajaa.ii hu.ii hai
Afeef Siraj
Sher
bazm-e-saaqii me.n rakhaa zahr kaa pyaala hogaa
vo piyegaa jo tiraa chaahne vaalaa hogaa
Unknown
Sher
kal tum jo bazm-e-Gair me.n aa.nkhe.n churaa ga.e
kho.e ga.e ham aise ki aGyaar paa ga.e
Momin Khan Momin
Sher
aa.iye shauq se bhau.nchaal bapaa kar diije
bazm-e-dil aap kii KHaatir hii sajaa rakkhii hai
Zubair Ahmad Saani
Sher
be-shak huzuur saaqii-e-bazm-e-bahaar hai.n
lekin KHud apnii tishna-labii bhii nibhaa.iye
Salam Machhli shahri
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
taz.iin-e-bazm-e-Gam ke liye ko.ii shai to ho
raushan charaaG-e-dil na sahii jaam-e-mai to ho
Hosh Tirmizi
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
bazm-e-aa.inda me.n kab kaun kahaa.n baiThegaa
raftagaa.n sab ko ye asraar bataane se rahe
Shumama Ufuq
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
ye mai-KHaana hai bazm-e-jam nahii.n hai
yahaa.n ko.ii kisii se kam nahii.n hai