SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-jaane"
Sher MATCHES FOR "be-jaane"
Sher
zamaana saKHt kam-aazaar hai ba-jaan-e-asad
vagarna ham to tavaqqo zyaada rakhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
ulajhte rahte ho be-jaan manzar me.n kisii se
hazaaro.n saal kii pahchaan pal-bhar me.n kisii se
Nomaan Shauque
Sher
jaane kitne be-qusuuro.n ko sazaa.e.n mil rahii.n
jhuuT lagtaa hai tumhe.n to jail jaa kar dekhiye
Noor N Sahir
Sher
na jaane kaun fazaa.o.n me.n zahr ghol gayaa
haraa-bharaa saa shajar be-libaas kaisaa hai
Abdussamad ’Tapish’
Sher
zehn ke KHaano.n me.n jaane vaqt ne kyaa bhar diyaa
be-sabab hone lagii ik ek se an-ban mirii
Ghazanfar
Sher
shaam Dhalte hii ye aalam hai to kyaa jaane bashiir
haal apnaa sub.h tak be-rabt nabze.n kyaa kare.n
Basheer Ahmad Basheer
Sher
daulat-e-duniyaa nahii.n jaane kii hargiz tere saath
baad tere sab yahii.n ai be-KHabar baT jaa.egii
Bahadur Shah Zafar
Sher
chaman pe Gaarat-e-gul-chii.n se jaane kyaa guzrii
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzrii hai