SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-kal"
Sher MATCHES FOR "be-kal"
Sher
us ke dar par mai.n gayaa saa.ng banaa.e to kahaa
chal be chal duur ho kyaa le ke faqiirii aayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
har sahaaraa be-amal ke vaaste be-kaar hai
aa.nkh hii khole na jab ko.ii ujaalaa kyaa kare
Hafeez Merathi
Sher
zindagii bhar kii riyaazat mirii be-kaar ga.ii
ik KHayaal aayaa thaa badle me.n vo kyaa detaa hai
Taimur Hasan
Sher
be-kaar hai be-ma.anii hai aKHbaar kii surKHii
likkhaa hai jo diivaar pe vo Gaur-talab hai
Khalid Siddiqui
Sher
jin ke baGair lagtii thii be-kaar zindagii
un se hii baat karne kii hasrat nahii.n rahii
Shaista Mehjabeen
Sher
ko.ii phal paa.egaa kyaa tuKHm-e-mohabbat bo kar
is amar-bel me.n to barg-o-samar kuchh bhii nahii.n
Imdad Ali Bahr
Sher
kuchh din se ajab be-kalii ghere hai tasavvur
kuchh din se mujhe apnaa hii ghar ghar nahii.n lagtaa
Tasleem Ahmad Tasavvur
Sher
Madan Mohan Danish
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
hasrat pe us musaafir-e-be-kas kii ro.iye
jo thak gayaa ho baiTh ke manzil ke saamne
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
ushshaaq jaa.n-ba-kaf kha.De hai.n tere aas-paas
ai dil-rubaa-e-Gaarat-e-jaa.n apne fan me.n aa
Faez Dehlvi
Sher
vo mere saamne KHanjar-ba-kaf kha.Daa thaa 'zeb'
mai.n dekhtaa rahaa us ko ki be-naqaab thaa vo
Zeb Ghauri
Sher
Sifar Sharma
Sher
sar-ba-kaf hind ke jaa.n-baaz-e-vatan la.Dte hai.n
teG-e-nau le saf-e-dushman me.n ghuse pa.Dte hai.n