SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-maaya"
Sher MATCHES FOR "be-maaya"
Sher
maze kii baat to ye hai ki be-mazaa hai vo dil
tumhaarii be-mazagii kaa jise maza naa lage
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
har shai se ho ke kyo.n na rahe be-niyaaz vo
har shai jahaa.n me.n jis ko tamaashaa dikhaa.ii de
Maya Khanna Raje Barelvi
Sher
vo aur ho.nge jin ko hai fikr-e-ziyaan-o-suud
duniyaa se be-niyaaz hai merii Gazal kaa rang
Maya Khanna Raje Barelvi
Sher
idhar aa raqiib mere mai.n tujhe gale lagaa luu.n
miraa ishq be-mazaa thaa tirii dushmanii se pahle
Kaif Bhopali
Sher
mirii be-rishta-dilii se use maza mil jaa.e
jigar kabaab jo ko.ii jalaa-bhunaa mil jaa.e
Shad Lakhnavi
Sher
maanaa nazar ke saamne hai be-shumaar dhu.nd
hai dekhnaa ki dhu.nd ke is paar kaun hai
Amjad Islam Amjad
Sher
Qalaq Merathi
Sher
ishq se tabii.at ne ziist kaa mazaa paayaa
dard kii davaa paa.ii dard-e-be-davaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
chaahat kaa jab mazaa hai ki vo bhii ho.n be-qaraar
dono.n taraf ho aag baraabar lagii hu.ii
Zaheer Dehlvi
Sher
be-hisii vo hai ki is daur me.n jiine kaa mazaa
na gunaaho.n me.n rahaa aur na savaabo.n me.n rahaa
Sharar Fatehpuri
Sher
maane.n jo merii baat muriidaan-e-be-riyaa
de.n shaiKH ko kafan to Dubo kar sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
zulf o abruu ne to ai jaan thaa baa.ndhaa maaraa
par tirii chashm ne kar ke mujhe be-jaa.n chho.Daa
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
dard ulfat kaa na ho to zindagii kaa kyaa mazaa
aah-o-zaarii zindagii hai be-qaraarii zindagii