SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-manzil"
Sher MATCHES FOR "be-manzil"
Sher
aap kaa ko.ii safar be-samt be-manzil na ho
zindagii aisii na jiinaa jis kaa mustaqbil na ho
Anis Dehlavi
Sher
har taraf phailaa hu.aa be-samt be-manzil safar
bhii.D me.n rahnaa magar KHud ko akelaa dekhnaa
Tufail Chaturvedi
Sher
zarra zarra karbalaa manzar-ba-manzar tishnagii
apne hisse me.n to aa.ii hai saraasar tishnagii
Nazeer Azad
Sher
Major Julian Feliz Talib
Sher
Abdul Rahman Bazmi
Sher
manzil pe nazar aa.ii bahut duurii-e-manzil
be-saaKHta aane lage sab raah-numaa yaad
Azmat Abdul Qayyum Khan
Sher
be-zabaa.n bhii to bataa detaa hai manzil kaa pataa
tai karaataa hai safar miil kaa patthar KHaamosh
Shams Ramzi
Sher
sab chale jaa.e.nge ik be-naam manzil kii taraf
ghar kii taKHtii kii jagah katbe lage rah jaa.e.nge
Tasneem Abidi
Sher
Salik Lakhnavi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
Hilal Fareed
Sher
be-naam masaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta.ayyun kabhii hotaa hai safar se
Parveen Shakir
Sher
un ke lab par zikr aayaa be-hijaabaana meraa
manzil-e-takmiil tak pahu.nchaa ab afsaana meraa
Natiq Lakhnavi
Sher
ko.ii bhii pechiidgii haa.el nahii.n anvar-'sadiid'
zindagii hai saamne manzar-ba-manzar aur mai.n
Anwar Sadeed
Sher
hasrat pe us musaafir-e-be-kas kii ro.iye
jo thak gayaa ho baiTh ke manzil ke saamne
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
allaah-re be-KHudii ki chalaa jaa rahaa huu.n mai.n
manzil ko dekhtaa hu.aa kuchh sochtaa hu.aa
Moin Ahsan Jazbi
Sher
Ahsan Marahravi
Sher
ramazaa.n me.n tuu na jaa ruu-ba-ruu un ke 'maa.il'
qabl-e-iftaar badal jaa.egii niyyat terii