SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-raah"
Sher MATCHES FOR "be-raah"
Sher
kitne jazbe tirii be-raah-ravii ne kuchle
harf-e-aavaara zaraa dekh ke chal kaaGaz par
Juned Azar
Sher
Altaf Hussain Hali
Sher
tujh se miraa mu.aamla hotaa ba-raah-e-raast
ye ishq darmiyaan na hotaa to Thiik thaa
Amjad Shahzad
Sher
kaise be-rahm hai.n sayyaad ilaahii tauba
mausam-e-gul me.n mujhe kaaT ke par rakhte hai.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
saffaak ibtidaa se vo be-rahm hai Galat
kahiye gar us ko aaj jafaakaar ho gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Yusuf Azmi
Sher
Jaun Eliya
Sher
bahut dino.n se huu.n aamad kaa apnii chashm-ba-raah
tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaa.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
Gamo.n ko bech rahaa huu.n mai.n is liye shaayad
kahaa thaa baap ne paisa bahut zaruurii hai
Amaan Ali Khan
Sher
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraarii hai
ruke hu.e hai.n musaafir safar bhii jaarii hai
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
vahii be-vaj.h udaasii vahii be-naam KHalish
raah-o-rasm-e-dil-e-naakaam se jii Dartaa hai
Javed Kamal Rampuri
Sher
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Sher
dil me.n rakh zaKHm-e-navaa raah me.n kaam aa.egaa
dasht-e-be-samt me.n ik huu kaa maqaam aa.egaa
Zafar Ghauri
Sher
milii thii raah me.n ik be-qaraar parchhaa.ii.n
ghar aa ga.ii hai mire saath saath chaltii hu.ii