SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-rasta"
Sher MATCHES FOR "be-rasta"
Sher
kyaa KHabar kaun saa rasta tirii jaanib nikle
be-iraada bhii ka.ii baar safar karte hai.n
Badr Muneer
Sher
Zubair Farooq
Sher
be-KHud-e-shauq huu.n aataa hai KHudaa yaad mujhe
raasta bhuul ke baiThaa huu.n sanam-KHaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
juz be-KHudii guzar nahii.n kuu-e-habiib me.n
gum ho gayaa jo mai.n to milaa raasta mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
darvaaza ko.ii ghar se nikalne ke liye de
be-KHauf ko.ii raasta chalne ke liye de
Sheen Kaaf Nizam
Sher
aah-e-be-asar niklii naala naa-rasaa niklaa
ik KHudaa pe takiya thaa vo bhii aap kaa niklaa
Aziz Qaisi
Sher
abhii se raasta kyuu.n rokne lagii duniyaa
kha.De hu.e hai.n abhii apne ruu-ba-ruu ham log
Irfan Siddiqi
Sher
paa-ba-gil be-KHudii-e-shauq se mai.n rahtaa thaa
kuucha-e-yaar me.n haalat mirii diivaar kii thii
Haidar Ali Aatish
Sher
ko.ii mile na mile be-qaraar rahtaa hai
ki dil kaa haal bhii ik mauj-e-aab jaisaa hai
Athar Nadir
Sher
rafta rafta merii al-Garzii asar kartii rahii
merii be-parvaa.iyo.n par us ko pyaar aataa gayaa
Shaad Aarfi
Sher
sahraa-e-be-KHayaal me.n jal-thal kahaa.n ke hai.n
aaKHir havaa-e-shauq ye baadal kahaa.n ke hai.n
Rasa Chughtai
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
tujh se miraa mu.aamla hotaa ba-raah-e-raast
ye ishq darmiyaan na hotaa to Thiik thaa
Amjad Shahzad
Sher
be-tarah dil me.n bharaa rahtaa hai zulfo.n kaa dhu.aa.n
dam nikal jaa.e kisii roz na ghuT kar apnaa
Imdad Ali Bahr
Sher
ye sab to duniyaa me.n hotaa rahtaa hai
ham KHud se be-kaar ulajhne lagte hai.n