SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-saaz"
Sher MATCHES FOR "be-saaz"
Sher
kushta-e-zabt-e-fuGaa.n naGma-e-be-saaz-o-sadaa
uf vo aa.nsuu jo lahuu ban ke Tapaktaa hogaa
Haneef Akhgar
Sher
ham ne ba-sad KHuluus pukaaraa hai aap ko
ab dekhnaa hai kitnii kashish hai KHuluus me.n
Unknown
Sher
ham ab udaas nahii.n sar-ba-sar udaasii hai.n
hame.n charaaG nahii.n raushnii kahaa jaa.e
Balmohan panday
Sher
munhadim hotaa chalaa jaataa hai dil saal-ba-saal
aisaa lagtaa hai girah ab ke baras TuuTtii hai
Iftikhar Arif
Sher
har tarah kii be-sar-o-saamaaniyo.n ke baavajuud
aaj vo aayaa to mujh ko apnaa ghar achchhaa lagaa
Ahmad Faraz
Sher
sar pe ehsaan rahaa be-sar-o-saamaanii kaa
KHaar-e-sahraa se na uljhaa kabhii daaman apnaa
Zaheer Dehlvi
Sher
saamaan-e-dil ko be-sar-o-saamaaniyaa.n milii.n
kuchh aur bhii javaab the mere savaal ke
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
us se mat kahnaa mirii be-sar-o-saamaanii tak
vo na aa jaa.e kahii.n mirii pareshaanii tak
Indira Varma
Sher
yaad aa.ii na kabhii be-sar-o-saamaanii me.n
dekh kar ghar ko Gariib-ul-vatanii yaad aa.ii
Waheed Akhtar
Sher
Akbar Hyderabadi
Sher
ba-sad adaa-e-dilbarii hai iltijaa-e-mai-kashii
ye hosh ab kise ki mai haraam yaa halaal hai
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
saf-ba-saf terii mohabbat ne sa.nbhaalaa ham ko
aur ham TuuT ke bikhre bhii to yakjaa.ii rahii
Kamran Nafees
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
fasl-e-gul aa.ii to kyaa be-sar-o-saamaa.n hai.n ham
shiisha o jaam nahii.n saaqii-e-gul-faam nahii.n
Hatim Ali Mehr
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
mai.n ek saa.at-e-be-KHud me.n chhuu gayaa thaa jise
phir us ko lafz tak aate hu.e zamaane lage